मुस्तफ़ा के पाले हैं, हम बरेली वाले हैं
दिल से भोले-भाले हैं, हम बरेली वाले हैं
दम रज़ा का भरते हैं, हम बरेली वाले हैं
ख़्वाजा ख़्वाजा करते हैं, हम बरेली वाले हैं
नाते-मुस्तफ़ा पढ़ के, जिक्रे-औलिया कर के
छठ्ठी हम मनाते हैंं, हम बरेली वाले हैं
मस्लके-मोईनुद्दीन, ही रज़ा का मस्लक है
सब को ये बताते हैं, हम बरेली वाले हैं
सुन्नियत के जितने भी, दहर में सलासिल हैं
उन सभी के नारे हैं, हम बरली वाले हैं
मस्लके-रज़ा से हर, बातिल क़ौम चिढ़ती है
हक़ पर हैं जो कहते हैं, हम बरेली वाले हैं
सिद्दीक़ो-उमर, उस्माँ, मुर्तज़ा भी हैं अपने
हर-सू बोल-बाले हैं, हम बरली वाले हैं
ख़ादीमे-सहाबा हैं, हम गदाअे-अहले-बैत
एतिदाल वाले हैं, हम बरैली वाले हैं
ग़ौष के हैं शैदाई, अशरफ़ के हैं मतवाले
ख़्वाजा के दीवाने हैं, हम बरैली वाले हैं
दावाअे-हुब्बे-ख़्वाजा,राफ़िज़ी का झूटा है
ख़्वाजा बस हमारे हैं, हम बरेली वाले हैं
दुनीया के किसी ख़ित्ते से तअल्लुक़ हो लेकिन
सब यही पुकारे हैं, हम बरेली वाले हैं
सीमो-ज़र की लालच में, बेचते हैं वो ईमाँ
सौदे में ख़सारा है, हम बरेली वाले हैं
ज़ुल्मत के तलातुम का, हम को कुछ नहीं खटका
नूर हैं, उजाले हैं, हम बरेली वाले हैं
बातिलों से कह दीजे, छेडे़े न हमें “अय्यूब”
आला हज़रत वाले हैं, हम बरेली वाले हैं
Mustafa ke paale hain, ham baraili wale hain
Dil se bhole-bhale hain, ham baraili wale hain
Dam Raza ka bharte hain, ham baraili wale hain
Khaja, khaja karte hain, ham baraili wale hain
Naat e Mustafa padh ke, Zikr e Aauliya kar ke
chhaththi ham manaate hain, ham baraili wale hain
Maslak e Moinuddin, hi Raza ka maslak hai
Sab ko ye batate hain, ham baraili wale hain
Sunniyat ke jitne bhi, Dahr main salaasil hain
Un sabhi ke naare hain, ham baraili wale hain
Maslak e Raza se har, Baatil qaum chidhti hai
Haq par hain jo kahte hain, ham baraili wale hain
Siddiq-o-Umar, Usma.n , Murtaza bhi hain apne
Har-soo bol baale hain, ham baraili wale hain
Khadim e Sahaaba hain, ham gada’a e ahl e bait
Aetidal wale hain, ham baraili wale hain
Ghaus ke hain shaida’ai, Ashraf ke hain matwale
Khaja ke diwaane hain, ham baraili wale hain
Dawa’a e hubb e khaja, Rafzi ka jhoota hai
Khaja bas hamaare hain, ham baraili wale hain
Duniya ke kisi khitte, se ta’alluq ho lekin
Sab yahi pukaare hain, ham baraili wale hain
Seem-o-Zar ki laalach main, Bechate hain voh imaa.n
Saude main khasaara hai, ham baraili wale hain
Zulm ke talaatum ka, ham ko kuchh nahin khatka
Noor hain, Ujaale hain, ham baraili wale hain
Baatilon se keh deeje, chhede na hamain “Ayyoob”
Aala Hazrat wale hain, ham baraili wale hain
Shayar : Mohammad Ayyub Raza Amjadi
Naat Khaan : Hafiz Ghulam Mustafa Qadri,
Sabir Raza Azhari