Peeron Ke Aap Peer Hain Ya Ghaus Al Madad Lyrics In Hindi And Roman English
पीरों के आप पीर हैं. या ग़ौष ! अल-मदद
पीरों के आप पीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
अहले-सफ़ा के मीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
रंजो-अलम कसीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
हम आजिज़ो-असीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
हम कैसे जी रहे हैं ये तुम से क्या कहे
हम हैं, अलम के तीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
तेरे ही हाथ लाज है, या पीरे-दस्तगीर
हम तुझ से दस्तगीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
किस दिल से हो बयाने-बेदादे-ज़ालिमाँ
ज़ालिम बड़े शरीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
अहले-वफ़ा ने पाई तुम से रहे-सफ़ा
सब तुम से मुस्तनीर हैं, या ग़ौष अलमदद
सदक़ा रसूले-पाक का झौली में डाल दो
हम क़ादरी फ़क़ीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
दिल की सुनाए अख़्तर दिल की ज़ुबान में
कहते ये बहते नीर हैं, या ग़ौष ! अल-मदद
================In English================
Peeron Ke Aap Peer Hain, Ya ghaus ! Al-Madad
Peeron ke aap peer hain, ya ghaus ! al-madad
Ahl e safa ke meer hain, ya ghaus ! al-madad
Ranj-o-alam kaseer hain, ya ghaus ! al-madad
Ham aajiz-o-aseer hain, ya ghaus ! al-madad
Ham kaise jee rahe hain, ye tum se kya kahen
Ham hain, alam ke teer hain, ya ghaus ! al-madad
Tere hi haath laaj hai, ya peer e dastageer !
Ham tujh se dastageer hain, ya ghaus ! al-madad
Kis dil se ho bayaan e bedaad e zaaliman
Zaalim bade shareer hain, ya ghaus ! al-madad
Ahl e safa ne paayi tum se rah e safa
Sab tum se mustaneer hain, ya ghaus ! al-madad
Sadqa rasool e paak ka jholi main daal do
Ham qadri faqeer hain, ya ghaus ! al-madad
Dil ki suna’ae “Akhtar” dil ki zubaan se
Kahte ye bahte neer hain, ya ghaus ! al-madad
Shayar : Akhtar Raza Khaan
Naat Khaan :
Owais Raza Qadri,
Sayyid Abdul Wasi Qadri,
Sabir Raza Azhari