वो रज़ा, मेरा रज़ा, मेरा रज़ा, मेरा रज़ा है
वो रज़ा, मेरा रज़ा, मेरा रज़ा, मेरा रज़ा है
वो इमाम इश्क़ो-मोहब्बत है बरेली का रज़ा
जिस ने कोई न किया काम है सुन्नत के सिवा
वाज़ेह सभी पे आयते-क़ुरआन कर गया
महफ़ूज़ सुन्नियों का जो ईमान कर गया
एहसान का न जिस के कोई भी हिसाब है
जिस की हयात इश्क़े-नबी की किताब है
जिस का वुजूद वक़्फ़े-रिसालत-मआब है
जिस में नबी की ख़ुश्बू है ऐसा गुलाब है
उठा क़लम तो इल्म के दरिया बहा दिए
घर घर नबी के जिक्र के जल्से सजा दिए
सर-ता-पा इल्मे-दीन का जो आफ़ताब है
हर दम चमकता और दमकता रहेगा वो
दुनिया-ए-सुन्नियत में महकता रहेगा वो
जिस में नबी की ख़ुश्बू है ऐसा गुलाब है
गुस्ताख़ी-ए-रसूल का नश्शा उतार दें
हम चाहें तो इसी से वहाबी को मार दें
अहमद रज़ा के नाम में वो आबो-ताब है
अहमद रज़ा ने कंज़ुल-ईमान है दिया
हम को रसूले-पाक का फ़ैज़ान है दिया
जो मस्लके-रज़ा पे चले कामियाब है
अख़्तर रज़ा का दामने-शफ़क़त न छोड़िये
कुछ भी हो दस्ते-ताजे-शरीअत न छोड़िये
वल्लाह ! फ़ख़्रे-अज़हरी इज़्ज़त-मआब है
उर्दु अदब की जान है और शान है रज़ा
नाते-नबी का हिन्द में हस्सान है रज़ा
नग़्मों में जिस के हुब्बे-नबी की शराब है
होता है जिस का ज़िक्र ज़माने में कू-ब-कू
शोहरत है जिस के फ़त्वे की तक़्वे की चार-सू
“सज्जाद” ! हर इमाम का वो इंतिख़ाब है
Wo Raza, Mera Raza, Mera Raza, Mera Raza Hai
Wo Raza, Mera Raza, Mera Raza, Mera Raza Hai
Wo imam ishq-o-muhabbat hai bareli ka raza
Jis ne koi na kiya kaam hai sunnat ke siwa
Wazeh sabhi pe aayat e quraan kar gaya
Mahfooz sunniyon ka jo imaan kar gaya
Aehsaan ka na jis ke koi bhi hisaab hai
Jis ki hayaat ishq e nabi ki kitaab hai
Jis ka wujood waqf e risaalat ma’aab hai
Jis main nabi ki khushboo hai aesa gulaab hai
Utha qalam to ilm ke dariya bahaa diae
Ghar ghar nabi ke zikar ke jalse sajaa diae
Sar-Ta-Pa ilm e deen ka jo aaftaab hai
Har dam chamakta aur damakta rahega wo
Duniya e sunniyat main mahakta rahega wo
Jis main nabi ki khushboo hai aesa gulaab hai
Gustaakhi e rasool ka nashsha utaar de.n
Ham chaahen to aisi se wahaabi ko maar de.n
Ahmad raza ke naam main wo aab-o-taab hai
Ahmad raza ne kanzul-imaan hai diya
Ham ko rasool e paak ka faizaan hai diya
Jo maslak e raza pe chale kaamiyaab hai
Akhtar raza ka daaman e shafqat na chhodiye
Kuchh bhi ho dast e taaj e shareeat na chhodiye
Wallah ! fakhr e Azhari izzat-ma’aab hai
Urdu adab ki jaan hai aur shaan hai raza
Naat e nabi ka hind main ‘Hassan hai raza
Naghmon main jis ke hubb e nabi ki sharaab hai
Hota hai jis ka zikar zamaane main koo ba koo
Shohrat hai jis ke fatwe ki taqwe ki chaar-soo
“Sajjad” har imaam ka wo intikhaab hai
Shayar : Sajjad Nizami
Naat Khaan : Sajjad Nizam