Assalamu Alaikum

Qadri Aastana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

क़ादरी आसताना सलामत रहे, मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे

क़ादरी आसताना सलामत रहे
मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे

पल रहे हैं जहाँ से ये दोनों जहाँ
वो सख़ी आसताना सलामत रहे

पल रहे हैं जहाँ से ये शाहो-गदा
वो सख़ी आसताना सलामत रहे

तुम से मंसूब है ज़िंदगी का निसाब
हश्र तक ये फ़साना सलामत रहे

दर्दमंदों के सर पर है साया-फ़िगन
आप का शामियाना सलामत रहे

ये नकीरैन बोले मुझे क़ब्र में
मुस्तफ़ा का दीवाना सलामत रहे

हुक्म था के अदा हो नमाज़े पचास
आप का आना-जाना सलामत रहे

है क़यामत तलक हर ज़माना तेरा
तेरा हर इक ज़माना सलामत रहे

ग़ौष की महफ़ीलें फिर से सजने लगीं
सुन्नीयों का घराना सलामत रहे

इतरते-फ़ातिमा पर उजागर निसार
सय्यिदा का घराना सलामत रहे

=============In English================

Qadri Aastana Salamat Rahe, Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

Qadri aastaana salaamat rahe
Mustafa ka gharaana salaamat rahe

Pal rahe hain jahan se ye donon jahan
Wo sakhi aastaana salaamat rahe

Pal rahe hain jahan se ye shaah-o-gada
Wo sakhi aastaana salaamat rahe

Tum se mansoob hai zindagi ka nisaab
Hashar tak ye fasaana salaamat rahe

Dard-mandon ke sar hai saaya-figan
Aap ka shaamiyaana salaamat rahe

Ye nakeerain bolen mujhe qabr main
Mustafa ka diwaana salaamat rahe

Hukm tha ke ada ho namaazen pachaas
Aap ka aana-jaana salaamat rahe

Hai qayaamat talak har zamaana tera
Tera har ik zamaana salaamat rahe

Ghaus ki mahfilen phir se sajaane lagen
Sunniyon ka gharaana salaamat rahe

Itrat e Fatima par “Ujagar” ! nisaar
Sayyida ka gharaana salaamat rahe

Shayar : Allama Nisar Ali Ujagar
Naat Khaan :
Hafiz Ghulam Mustafa Qadri,
Milad Raza Qadri, 
Sayyid Furqan Qadri,
Sayyid Arsalan Shah Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button