Assalamu Alaikum

Ab To Bas Aek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun Lyrics

अब तो बस एक ही धुन है के मदीना देखूँ

अब तो बस एक ही धुन है के मदीना देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है के मदीना देखूँ

आखरी उम्र में क्या रोनक़े-दुनिया देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है के मदीना देखूँ

मैं कहाँ हूँ ये समझ लूँ तो उठाऊँ नज़रें
दिल जो सँभले तो मैं फिर गुंबदे-ख़ज़रा देखूँ

अज़-उफ़क़ ता-ब-उफ़क़ एक ही जल्वा देखूँ
जिस तरफ़ आँख उठे रौज़ा-ए-वाला देखूँ

आक़िबत मेरी सँवर जाए जो तयबा देखूँ
दस्ते-इमरोज़ में आईना-ए-फ़र्दा देखूँ

मैं ने जिन आँखों से देखा है कभी शहरे-नबी
और इन आँखों से अब क्या कोई जल्वा देखूँ

बादे-रहलत भी जो सरकार को महबूब रहा
अब इन आँखों से मैं ख़ुश-बख़्त वो हुजरा देखूँ

जालियाँ देखूँ के दीवारो-दरो-बामे-हरम
अपनी माअज़ूर निगाहों से मैं क्या क्या देखूँ

जिन गली कूचों से गुज़रे हैं कभी मेरे हुज़ूर
उन में ता-हद्दे-नज़र नक़्शे-कफ़े-पा देखूँ

मेरे मौला मेरी आँखें मुझे वापस कर दे
ताके इस बार मैं जी भर के मदीना देखूँ

ताके आँखों का भी एहसान उठाना न पड़े
क़ल्ब ख़ुद आईना बन जाए मैं इतना देखूँ

काश, इक़बाल ! यूँही उम्र बसर हो मेरी
सुब्ह काबे मैं तो फिर शाम को तयबा देखूँ

===============In English===============

Ab To Bas Aek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun

Ab to bas aek hi dhun hai ke madine dekhun
Ab to bas aek hi dhun hai ke madina dekhun

Aakhri umar main kya ronaq e duniya dekhun
Ab to bas aek hi dhun hai ke madine dekhun

Main kahan hun ye samajh lun to utha’aun nazren
Dil jo sanbhale to main phir Gumbad e khazra dekhun

Az-ufaq ta-ba-ufaq aek hi jalwa dekhun
Jis taraf aankh uthe roza e wala dekhun

Main ne jin aankhon se dekha hai kabhi Shahr e Nabi
Aur in aankhon se ab kya koi jalwa dekhun

Baad e rahlat bhi jo sarkar ko mahboob raha
Ab in aankhon se main khush-bakht wo hujra dekhun

Jeliyan dekhun ke deewar-o-dar-o-baam e haram
Apni maazoor nigaahon se main kya dekhun

Mere maula ! meri aankhen mujhe waapas karde
Taake is baar main jee-bhar ke madina dekhun

Jin gali koochon se guzre hain kabhi mere huzoor
Un main taa-hadd e nazar naqsh e kaf e paa dekhun

Taake aankhon ka bhi aehsaan uthaana na pade
Qalb khud aayina ban ja’ae main itna dekhun

Kash, “Iqbal” ! yoonhi umar basar ho meri
Sub’h kaabe main to phir shaam ko taiba dekhun

Shayar : Iqbal Azeem
Naat Khaan : Owais Raza Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button