Assalamu Alaikum

Roshan Jahan Main Har Ja Pata Hun Noor Tera

Roshan  Jahan Me har ja pata hun Noor Tera
Har shai pe dekhta hun piyara zuhur tera

Aj mahtab mahi teri hi badshahi
Dikhla raha he Aalam kya kya zuhur tera

Gulshan main chupke chupke  lete hain naam gunche
Aur Bulbulon main dekha har samt shor tera

Mansoor ka ye muh tha jo vho kaheta analhaq
Barpa kiya huva tha sara futur tera

“bedam” ki aarzu hai har dam ye justju hai
Mil jaae kash tera usko qurb e huzur tera

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button