Mujh Pe Bhi Chashm e Karam Ae Mere Aaqa Karna Lyrics
मुझ पे भी चश्मे-करम, ऐ मेरे आक़ा ! करना
मुझ पे भी चश्मे-करम, ऐ मेरे आक़ा ! करना
हक़ तो मेरा भी है रहमत का तक़ाज़ा करना
मैं के ज़र्रा हूँ मुझे वुस्अते-सहरा दे दे
के तेरे बस में है क़तरे को भी दरिया करना
तू किसी को भी उठाता नहीं अपने दर से
के तेरी शान के शायाँ नहीं एसा करना
मैं हूँ बे-बस, तेरा शेवा है सहारा देना
मैं हूँ बीमार, तेरा काम है अच्छा करना
ये तेरा काम है, ऐ आमिना के दुर्रे-यतीम !
सारी उम्मत की शफ़ाअत तने-तन्हा करना
तेरे सदक़े ! वो उसी रंद में ख़ुद ही डूबा
जिस ने जिस रंग में चाहा मुझे रुस्वा करना
ये तमन्ना-ए-मोहब्बत है के, ऐ दावरे-हश्र !
फ़ैसला मेरा सुपुर्दे-शहे-बतहा करना
आलो-असहाब की सुन्नत, मेरा मेअयारे-वफ़ा
तेरी चाहत के एवज़, जान का सौदा करना
शामिले-मक़्सद-ए-तख़्लीक़ ये पहलु भी रहा
बज़्मे-आलम को सजा कर तेरा चर्चा करना
ये सराहत व-रफ़अना-लक-ज़िक्रक में है
तेरी तारीफ़ कराना, तुझे ऊँचा करना
दुश्मन आ जाए तो उठ कर वो बिछाना चादर
हुस्ने-अख़्लाक से ग़ैरों को वो अपना करना
उन सहाबा की ख़ुश-अतवार निगाहों को सलाम
जिन का मस्लक था तवाफ़े-रुख़े-ज़ैबा करना
मुझ पे महशर में, नसीर ! उन की नज़र पड़ ही गई
कहने वाले इसे कहते हैं ख़ुदा का करना
================In English================
Mujh Pe Bhi Chashm e Karam, Ae Mere Aaqa ! Karna
Mujh pe bhi chashm e karam, ae mere Aaqa ! karna
Haq to mera bhi hai rahmat ka taqaaza karna
Main ke zarra hun mujhe wus’at e sahra de de
Ke tere bas main hai qatre ko bhi dariya karna
Too kisi ko bhi uthaata nahin apne dar se
Ke teri shaan ke shaaya.n nahin aesa karna
Main hun be-kas, tera shewa hai sahaara dena
Main hun bimaar, tera kaam hai achha karna
Ye tera kaam hai, ae Aamina ! ke durr e yateem
Saari ummat ki shafa’at tan e tanha karna
Tere sadqe ! wo usi rang main khud hi dooba
Jis ne jis rang main chaaha mujhe ruswa karna
Ye tamnna e mohbbat hai ke, ae daawar e hashr !
Faisala mera supurd e shah e bat’ha karna
Aal-o-ashaab ki sunnat, mera me’ayaar e wafa
Teri chaahat ke aewaz, jaan ka sauda karna
Shaamil e maqsad e takhleeq ye pahlu bhi raha
Bazm e aalam ko saja kar tera charcha karna
Ye saraahat ‘wa-raf’ana-lak-zikrak’ main hai
Teri tareef karaana, tujhe uncha karna
Tere aage wo har ik manzar e fitrat ka adab
Chand-sooraj ka wo pahron tujhe dekha karna
Dushman aa ja’ae to uth kar wo bichhaana chaadar
Husn e akhlaaq se ghairon ko wo apna karna
Un Sahaaba ki khush-atwaar nigaahon ko salaam
Jin ka maslak tha tawaaf e rukh e zaiba karna
Mujh pe mahshar main, “Naseer“! unki nazar padh hi gayi
Kahne wale ise kahte hain khuda ka karna
Shayar : Peer Naseeruddin Naseer
Naat Khaan :
Gulam Mustafa Qadri,
Syed Hassanullah Husaini