Mere Husain Tujhe Salam

Mere Husain tujhe salam
Mere Husain tujhe salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam

Jisko dhoke se Kufe bulaya gaya
Jisko baithe bithae sataya gaya
Jiske bhai ko zahar pilaya gaya
Jiske bachhon ko pyasa rulaya gaya
Us Husain Ibn e Haidar pe lakhon salam

Jin ka Jannat se joda mangaya gaya
jin ko dosh e Nabi par bithaya gaya
Jin ki gardan pe khanjar chalaya gaya
Jin ko tiron chhalli karaya gaya
Us Husain Ibn e Haidar pe lakhon salam

Jis ne haq karbala main ada kar diya
Apne nana ka vada wafa kar diya
Sab kuchh ummat ki khatir fida kar diya
Ghar ka ghar sab supurd e khuda kar diya
Us Husain Ibn e Haidar pe lakhon salam

Kar chuka voh habib apni hujjat tamam
Leke Allah aur apne Nana ka naam
Kufiyon ko sunaen khuda ke kalam
Aur fida ho gaya shah e aali maqam
Us Husain Ibn e Haidar pe lakhon salam

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top