Marhab marhaba aye ali ke pisar
tum pe lakhon salam tum pe lakhon salam
Fatima sayyada ke aye lakht e jigar
Tum pe lakhon salam tum pe lakhon salam
Pairvi ki muhammad ke paigham ki
Aabru tumne rakhli hai islam ki
Tum se shadab deen e nabi ka shajar
Tum pe lakhon salam tum pe lakhon salam
Zalimon ne kiye hain sitam par sitam
Dagmagaaen na phir bhi tumhare qadam
Khud ko qayim rakha Sabro iman par
Tum pe lakhon salam tum pe lakhon salam
Bhai, bete, bhatije shahid ho gaye
Aap karbal main tanha faqat rahe gaye
Phir bhi batil ke aage jhukaya na sar
Tum pe lakhon salam tum pe lakhon salam
Haidari tegh jab ki buland aapne
Surman jitne the kapkapane lagen
Chun mukabi the dushman hazaron magar
tum pe lakhon salam tum pe lakhon salam
Ya husain ibn e haidar ali murtaza
Rah e haq main kiya tum ne sab kuchh phida
Aanch aane na di tum ne islam par
Tum pe lakhon salam tum pe lakhon salam
મરહબા મરહબા એ અલી કે પીસર , તૂમ પે લાખો સલામ તૂમ પે લાખો સલામ
ફાતીમા સય્યદા કે એ લખ્તે જીગર , તૂમ પે લાખો સલામ તૂમ પે લાખો સલામ