Voh Shaher e Muhabbat Jahan Mustafa Hain

Voh shaher e muhabbat jahan Mustafa hain
Vahin ghar banane ko jee chahta hai
Voh sone se kankar voh chandi si matti
Nazar main basa ne ko jee chahta hai

Jo puchha Nabi ne ke kuchh ghar bhi chhoda
To Siddiq Akbar ke honthon pe aaya
Vahan mal-o-daulat ki kya hai haqiqat
Jahan jan lutane ko jee chahta hai

Voh Nanha sa Asgar voh aedi ragad kar
Yahi kahe raha tha voh kheme main rokar
Aye baba main pani ka piyasa nahin hun
Mera sar kata ne ko jee chahta hai

Jihad e muhabbat ki aawaz gunjhi
Kaha Hanzla ne ye Dulhan se apni
Ijazat agar do to jameĀ  shahadat
Labon se laga ne ko jee chahta hai

Sitaaron se ye Chand kaheta hai har dam
Tumhain kya bataun voh tukdon ka aalam
Ishare main aaqa ke itna maza tha
Ke phir toot jane ko jee chahta hai

Jo dekha hai Rooa e Jamal e Risalaat
To “Tahir” Umar Mustafa se ye bole
Badi aapse Dushmani thi magar ab
Ghulami main aane ko jee chahta hai

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top