Ye baat kis qadar hasin
jo kahe gaye moinuddin
Ke deen ki panah husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai
Aman k amaherumah bhi
Jo shahon ka hai shah bhi
Aesa badshah husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai
Kare koi jo ham sarin Kisi ki kya majal hai
Husain har lihaz se jahan main be misaal hai
Ye ho chuka hai faisala Na koi dusara hasan
Na koi dusara husain hai
Mera husain hai mera badshah husaun hai
Hai jis ki Fikar karbala husain voh dimagh hai
Ye panjatan ki anjuman ka panchva chiragh hai
Hasan ka pahela ham safar Ali ka dusara pisar
Imam tisara husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai
Hidaayat e Husain par amal karo ae Mominon
Rahenge ham Bahisht main Yaqeen rakho ae Mominon
Qubool hogi har duaa Kisi se kyun daren bhala
Hamara wasata husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai
Duaaon main Nidaaon main jo wasata ise banaaega
Bahishton ki jo rahon ka rasta ise banaaega
Na wasate main tod hai,na rasate main mod hai
Aesi sidhi rah husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai
Kaza ke bad phir mujhe nayi Hayat mil gayi
Azab se Itab se Mujhe najat mil gayi
Sawal Jab kiya gaya hai kon tera peshawa
To maine kahe diya husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai
Shahide karbala ka gham jise bhi na gavar hai
Voh bad amal, Hai bad naseeb usi pe be shumar hai
Are ao dushman e Azal tomar jara Kabar main chal
Pata chalega kya husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai
Karega jo mukhalifat Gham e husain ki yahan
Voh hoga hashar , hashar main Ki al-hafiz-o-al-aman
Jahan bhi chhupne jaaega Kahin bhi bach na paaega
Ke har jagah mera husain hai
Mera husain hai mera badshah husain hai