Chalo Dayan e Nabi Ki janib Durood Lab Par Saja Saja Kar
Salla alaik ya Rasulallah
Wa sallamu alaik ya Habiballah
Chalo dayar e nabi ki janib
Durood lab par saja saja kar
Baharen lutainge ham karam ki
Dilon ko daman bana bana kar
Na unke jaisa Sakhi hain koi
Na unke jaisa Ghani hain koi
Voh be-Nawaon ko har jagah se
Nawazte hain bula bula kar
Hai unko ummat se piyar kitna
Karam hai rahemat shiaar kitna
Hamare jurmon ko dho rahe hain
Huzoor aansun baha baha kar
Yahi asas e amal hai meri
Isi se bigadi bani hai meri
Sametata hun karam khuda ka
Nabi ki naten suna suna kar
Kabhi jo mere gharib khane
Ki aap aakar jagaaen qismat
Main khair maqdam ke geet gaunga
Apni palken bichha bichha kar
Main voh nikamma hun jiski jholi
Main koi husn e amal nahin hai
Magar voh ahesan kar rahe hain
Khataaen meri chhupa chhupa kar
Agar muqddar ne yavari ki
Agar madine gaya main “khalid”
Qadam qadam khak us gali ki
Main choom lunga utha utha kar
Shayar: Khalid Mahmud Naqshbandi
Naat Khan:Owais Raza Qadri