Husain Tumko Zamana Salam Kaheta Hai
Husain tum ko zamana salam kaheta hai
Husain tum ko zamana salam kaheta hai
Tumhare sajde ko kaaba salam kaheta hai
Jalaal e kubba e Khazra salam kaheta hai
Chaman ka har gul-o-guncha salam kaheta hai
Husain tum ko zamana salam kaheta hai
Charagh, Masjid-o-Mimbar salam kahete hain
Nabi Rasool-o-Payambar salam kahete hain
Ali-o Fatima, Shabbar salam kahete hain
Khuda gavah hai ke nana salam kaheta hai
Khuda ki rah main sar ko kata diya tumne
Nabi ke deen pe ghar ko lutaa diya tumne
Nishan e kufr ko yaksar mitaa diya tumne
Tumhain khuda bhi tumhara salam kaheta hai
Tumhain falaq ke sitaaren salam kahete hain
Tumhain quraan ke paaren salam kahete hain
Tumhain haram ke minaaren salam kahete hain
Imam tum ko madina salam kaheta hai
Sana tumhari wazifa hai mera aabayi
Tumhari madh to shewa hai maulayi
Bas aek nazar ho jo mujh par to meri ban aai
Tumhara Saiyad e Shaida salam kaheta hai
Shayar : Sayyad Shah Aal e Mustafa Sayyid Miya Marehravi
Naat Khan : Hafiz Bilal Qadri
Sahil Raza Qadri