Har Zamana Mere Husain Ka hai

Har zamana mere husain ka hai

Jaan mango, main dil nahin dunga
Dil thikana mere husain ka hai

Jiski khatir ye kayinat bani
Aesa nana mere husain ka hai

Jis pe har aek durood padhta hai
Voh gharana mere husain ka hai

Ye jo kaba hai tum na samjhoge
Ghar purana mere husain ka hai

Raat se deen jo ye nikalta hai
Muskurana mere husain ka hai

Tum jise aasman samjhte ho
Shamiyana mere husain ka hai

Koi puchhe ye dor kiska hai
Tum batana mere huasain ka hai

Bolin Zahara ye ashq do mujhko
Ye khazana mere husain ka hai

Aug raha hai jo baad e karb-o-bala
Dana dana mere husain ka hai

Jab se ghar main sajhe hain alam
Aana jana mere husain ka hai

Mujh main “Rehan” ye shuaur jo hai
Shayirana mere husain ka hai

Shayar : Rehan Aazmi
Naat Khan : Yashfin Ajmal Shaikh
Muazzam Ali Mirza

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top