Ham Kabhi Na Bhulainge

Hai yaad voh manzar karbal ka
Kaheta huva khoon voh Asaghar ka
Voh Zakhmi badan, Jalte khaimen
NazronĀ  se na hargiz jaaenge
Ham kabhi na bhulainge
Ham kabhi na bhulainge

Zahara ke mahkte gulshan ka
Har phool masal dala tumne
Piyase honthon ko zakhmi kiya
Zaalim kya kar dala tune
Ye zulm ye aal e nabi pe sitam
Saari duniya ko bataaenge
Ham kabhi na bhulainge

Voh lootti jawaani Qasim ki
Abbas ke voh katte baazu
Voh Aaun-o-Muhammad ki laashain
Voh baheta huva karbal main lahoo
Maheshar ke deen ye zulm-o-seetam
Zaalim pe qahar ban jaaenge
Ham kabhi na bhulainge

Ye zikr ye geet shahadat ke
Ye naghme unki shujaat ke
Ye ghar ghar main unki baaten
Lab par naaren aur nam aankhain
Aashura ka deen aur sookhi zubaan
Karbal ki yaad dilaaenge
Ham kabhi na bhulainge

Ae koofiyon ye kya tum neĀ  kiya
Aal e Ahmad ko dhoka diya
Pahele daawat di aane ki
Aaye to tanha chhod diya
Khud ko haq par kahene wale
Munh kya hai dar ko dikhaaenge
Ham kabhi na bhulainge

Allah ki aek shamsheer hain ye
Ibn e Haidar Zahara ke pisar
Nana haib enke khair e bashar
Aasim” hain ye jannat ke maalik
Yahi jannat dilvaaenge
Ham kabhi na bhulainge

 

Shayar : Aasim-Ul-Qadari
Naat Khaan : Sayyad Hasan Ullah Hussaini

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top