Aaya na hoga is tarah husn-o-shabab ret par
Gulshn e Fatima ke the sare Gulab ret par
Jaan e batool ke siwa koi nahin khila saka
Qatra e aab ke bagher itne gulab ret par
Jitne sawaal ishq ne aal e rasool se kiye
aek se badh kar ik diya sab ne jawab ret par
Ishq main kya lootaaen iahq main kya bachaaen
Aal e nabi ne likh diya sara nisaab ret par
Piyasa husain ko kahu itna to be-adab nahin
LumsĀ e lab e husain ko tarsa hai aab ret par
Lazzat e Sozish e bilal, Shauq e shahadat e husain
Jisne liya yunhin liya apna khitab ret par
Aal e nabi ka kaam tha, aal e nabi hi kar gaye
Koi na likh saka “adeeb“Aesi kitab ret par
Sahyar : Adeeb Raypuri
Naat Khan : Owais Raza Qadri