Khak e Karbal Par Ali Ka Laadala Sajde Main Hai
Khak e karbal par ali ka laadala sajde main hai
Naujawanan e jinaa ka badshah sajde main hai
Jo kabhi tha aap ke kandhe pe baitha, ya nabi!
Karbal main aap ka voh laadla sajde main hai
Jiske bose lete the sultan e aalam barha
Voh sar e ibn e ali tan se judaa sajde main hai
Zindagi de kar habib e kibriya ke deen ko
Sar kata kar Fatah e karb-o-bala sajde main hai
Jis ka ae “Shauq e Fareedi”Deen Par ahesan hai
Han vahi chashman e Zahara Ki ziya sajde main hai
Shayar : Muhammad Shauqin Nawaz Shauq Fareedi
Naat Khan : Sayyad Abdul Qadir Al-Qadari