Chamak Tujh Se Paate Hain Sab Pane Wale With Tazmeen

Tumhi arsh se farsh par jane wale
Tumhi nemtain rab se dilvane wale
Tere aage sab hath phailane wale
Chamak tujh se paate hain sab pane wale
Mera dil bhi chamkade chamakane wale

Hai be-misl tera karam jaan e izzat
Ghulamon pe har dam hai teri inayat
Ho gulshn, ho sahara ho dariya, ke parbat
Barsta nahin dekh kar arb e rahemat
Badon par bhi barsade barsane wale

Sawari se apni tu jis dam utarna
Madine ke Zair zara tu sanbhalna
Yahan tha mere mustafa ka guzarna
Haram ki  zamin aur qadam rakh ke chalna
Are sar ka mauqa hai, ao jane wale

Hain Makke ke jalwe bhi mana ke achhchhe
Magar main Madine ki ‘azmat ke sadqe’
Use to hai nisbat mere Mustafa se
Madine ke khitte, Khuda tujh ko rakhkhe
Ghareeb-o-Faqeeron ko thahrane wale

Kabhi ‘Ghaus-o-Khaja ke naaron’ se uljhe
Kabhi ‘Aauliya ke Mazaaron’ se uljhe
Ye kha kar niyazen Niyazon se uljhe
Tera kha’aen tere ghulaamon se uljhe
Hain Munkir ajab khane Ghurrane wale

Ae ‘Mushkil e Kusha’ keeje Mushkil Kushai
Tadap kar jo mene sada ye laga’ai
To Aaqa ki rahemat ye paigham la’ai
Ab aai Shafa’at ki sa’at ab aai
Jara chain le mere ghabrane wale

Kabhi ‘Ghaus-o Khaja’ naaro se uljhe
Duroodon se uljhe, Salaamon se uljhe
Sahihulaqeeda  Imamon se uljhe
Tera kha’aen tere Ghulaamon se uljhe
Hain Munkir ajab khane Ghurrane wale

Ye najdee munaafiq hain ganda hai wallah
Ghalaazat la balki pulanda hai wallah
Jahannam main naam uska koonda hai wallah
Jo ‘Murda’ kahe tum ko murda hai wallah
Too zinda hain wallah too zinda hain wallah
Mere chashme aalam se chhoop jane wale

Ghulaam e nabi khuld main ja basega
Jahannam main ‘Munkir Munaafiq’ jalega
Jo aashoq hain voh to Hamesha kahega
Rahega yoonhi unka charcha rahega
Pade khaak ho ja’aen jaljane wale

Sada geet unki muhabbat ka gana
Jigar munkiron ka yoonhi tum jalana
Ubaid e Raza” unse dhoka na khana
Raza ka ye paigham na bhool jana
Raza” Nafs dushman hai dam main na aana
Kahan tumne dekhe hain Chandrane wale

Shayar : Imam Ahmad Raza Khaan
Tazmeen : Owais Raza Qadari
Naat Khaan : Owais Raza Qadari

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top