Aye Saba Mustafa Se Kahe Dena
Aye saba Mustafa se kahe dena
Gham ke Mare salaam kahete hain
Yaad karte hain tum ko shaam-o-sahar
Be-sahare salaam kahete hain
Allah Allah Huzoor ki baatain
Marhaba Rangon noor ki baatain
Chand jinki balaain leta hai
Aur sitaarain salaam kahete hain
Jab muhammad ka naam aata hai
Rahematon ka payaam aata hai
Lab hamare durood padhte hain
Dil hamare salaam kahete hain
Aashiqon ka salaam le jaao
Ghamzadon ka payam le jaao
Haajiyon Mustafa se kahe dena
Be-sahare salaam kahete hain
Zikr tha aakhari maheene ka
Tazkira chhid gaya Madine ka
Hajiyon Mustafa se kahe dena
Gham ke maare salaam kahete hain
Zaa.aire taiba tu madine main
Piyare Aaqa se itna kahedena
Aap ki gard e raah ko, Aaqa
chaand taare salaam kahete hain
Sabz gumbad ka aankh main manzar
Aur taswwur main aap ka mimbar
Saamne Jaaliyan hain roze ki
Dil hamare salaam kahete hain
Ae khuda ke Habib, piyare rasool
Ye hamara salaam keeje qubool
Aaj mahefil main jitne hazir hain
Mil ke saare salaam kahete hain
Gham ke baadal tamam chhatne lagain
Parde aankhon se saare hatne lagain
Jo talaatum Bane hu.ae the “Suhail”
Voh kinaare salaam kahete hain
Naat Khaan : Owais Raza Qadari
Hafiz Tahir Qadari
Milad Raza Qadari