Mausam suhana hua nabi ka jab aana huaa
Mere Aaqa ke jalwon se roshan zamana huaa
Qurbaan jaau.n main ye bole Jibreel e ami.n
Sidra se bhi aage nabi ka jab jaana huaa
Owais e Qarni ne khud ko mitaa daala
Bin dekhe Aaqa ka jab dil diwana huaa
Zahir main illallah, Baatin main na’uzu-billah
Najdi Wahaab ka naatak purana huaa
Deen e Muhammad ki khaatir Ali tera
Qurbaan karbal main Saara gharaana huaa
Din ho gaya roshan, Tareekiyan mit gayi
Mere Nabi ka jab kahin bhi muskurana huaa
Gustaakhiyan kar ke sach hai “Saleem e Raza”
Najdi wahaabi ka dozakh thikaana huaa
Shayar : Saleem Raza Pilibhiti
Naat Khaan : Saleem Raza Pilibhiti