Kon Shahr e Makka Main Sub’h Sub’h Aaya Hai

Kon shahr e makka main sub’h sub’h aaya hai
Jis ke noor se aalam saara jhagmagaaya hai

Ghaib se nidaa aayi Aamena mubarak ho
Toone rahematĀ  e haqq se noor haqq ka paaya hai

Thi Nidaa Shab e Asra, Udnoo-Minni Maheboob
Be dhadak chale aa’ao, hamne hi bulaaya hai

Aql sab ki haira’n hai, dekh kar shah e dee’n ko
Ye bashar to hai lekin, kyoo’n na inka saaya hai

Inna-Ma-Ana-Basharum-mislukum ke parde main
Haq ne apne jalwo’n ka, aayina sajhaaya hai

Ya nabi main tum par kyoo’n, na jaan-o-dil fidaa kar du
Ham ne aap ko paakar,to khuda ko paaya hai

Daamn e nabi “Aashiq“, ab na ham se chhotega
Ham ne un se jo manga, vo khuda se paaya hai

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top