Ya rasoolallah ya habiballah
Pukaro, ya rasoolallah ya habiballah
Tum bhi kar ke unka charcha apne dil chamkao
Unche main uncha nabi ka jhanda
Azmat wala nabi ka jhanda
Ghar ghar main laherao
Ya rasoolallah, ya habiballah
Pukaro, ya rasulallah, ya habiballah
Ya rasoolallah ke naare se ham ko piyar hai
ham ne ye naara lagaya, apna bedaa paar hai
Sarkar ki aamad ! marhaba !
Dildaar ki aamad ! marhaba !
Sohne ki aamad ! marhaba !
Makki ki aamad ! marhaba !
Madni ki aamad ! marhaba !
Piyare ki aamad ! marhaba !
Huzoor ki aamad ! marhaba !
Achhe ki aamad ! marhaba !
Sachche ki aamad ! marhaba !
Huzoor ki aamad ! marhaba !
Pur-noor ki aamad ! marhaba !
Aaqa ki aamad ! marhaba !
Daata ki aamad ! marhaba !
Sab mil kar bolo ! marhaba !
Sab jhoom ke bolo ! marhaba !
Pukaro, ya rasulallah, ya habiballah
Ya rasulallah, ya habiballah
Khuld main hoga hamara, dakhila is shaan se
Ya rasoolallah ka, naara lagate jaainge
Pukaro, ya rasoolallah, ya habiballah
Ya rasulallah, ya habiballah
Rabbi-habli-ummati kahete hu’ae paida hu’ae
Haq ne farmaya ke bakhsha, assalatu wassalam
Sarkar ki aamad ! marhaba !
Dildaar ki aamad ! marhaba !
Mandhar ki aamad ! marhaba !
sohne ki aamad ! marhaba !
Makki ki aamad ! marhaba !
Madni ki aamad ! marhaba !
Piyare ki aamad ! marhaba !
Huzoor ki aamad ! marhaba !
Achhe ki aamad ! marhaba !
Sachche ki aamad ! marhaba !
Huzoor ki aamad ! marhaba !
Pur-noor ki aamad ! marhaba !
Aaqa ki aamad ! marhaba !
Daata ki aamad ! marhaba !
Sab mil kar bolo ! marhaba !
Sab jhoom kar bolo ! marhaba !
Pukaro, ya rasoolallah, ya habiballah
ya rasulallah, ya habiballah
Chand sa chamkate chehra, Noor barsate hu’ae
Aa ga’ae Badrud-dujha, ahla-wwa-sahlan marhaba
Aamena ke ghar main Aaqa, ki wilaadat ho gayi
Marhaba sad Marhaba, ahla-wwa-sahlan marhaba
Bait e Aqsha, Baab e Kaba, Bar makaan e Aamena
Nasab parcham ho gaya, ahla-wwa-sahlan marhaba
Pur-noor hai zamana, sub’h e shabe wilaadat
Parda utha hai kiska, sub’he shab e wilaadat
Jalwa hai haq ka jalwa, sub’h e shab e wilaadat
Saaya khuda ka saaya, sub’h e shab e wilaadat
Fasl e bahaar aayi, shakl e nigaar aayi
Gulzaar hai zamana, sub’h e shab e wilaadat
Phoolon se baagh mehke, shaakhon pe murgh chehke
Ahd e bahaar aaya, sub’h e shab e wilaadat
Dil jhagmaga rahe hai, qismat chamak uthi hai
Faila naya ujala,sub’h e shab e wilaadat
Aayi nayi hukoomat, sikka naya chalega
Aalam ne rang badla, sub’h e shab e wilaadat
Roohul-Amin ne gada, kabe ki chhat pe jhanda
Ta-Arsh uda pharera, sub’h e shab e wilaadat
Padhte hain arsh wale, sunte hain farsh wale
Sultan e nau ka khutba, sub’h e shab e wilaadat
Din phir gaye hanare, sote naseeb wale
Khursheed hi voh chamka, sub’h e shab e wilaadat
Piyaare rabiul-awwal, teri jalak ke sadqe
Chamka diya naseeba, sub’h e shab e wilaadat
Nausha banaau unko,dulha banaau unko
Hai arsh tab ye shohra, sub’h e shab e wilaadat
Shaadi rachi hu’ai hai, bajte hain shadiyaane
Dulha bana voh dulha, sub’h e shab e wilaadat
Aamad ka shaur sun kar, ghar aa’ae hain bhikari
Ghere lage hain rasta, sub’h e shab e wilaadat
Aao faqeeron aao, Munh mangi aas pao
Baab e karim hai wa, sub’h e shab e wilaadat
Sookhi zabaanon aao, aye jalti jaanon aao
Lahera raha hai dariya, sub’h e shab e wilaadat
Teri chamak damak se, aalam chamak raha hai
Mere bhi bakht chamka, sub’h eshab e wilaadat
Baata hai do-jahan main, tune ziya ka baada
De de “Hasan” ka hissa, sub’h e shab e wilaadat
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Eid e Milaadun-nabi hai, dil bada masroor hai
Har taraf hai shaadmani, ranjh-o-gham kafoor hai
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Is taraf jo noor hai to, us taraf bhi noor hai
Zarra, zarra sab jahan ka, noor se mamoor hai
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Gham ke baadal chhat gaye, aur gham ke maare jhoom uthe
Aa gaya khushiyan liya, maah e rabiun-noor hai
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Aamena Tujh ko mubarak, shaah ka meelad ho
Tera aangan noor, tera ghar ka ghar sab noor hai
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Jashn e meeladun-nabi hai, kyoon na jhoome aaj ham
Muskurati hain bahaaren, sab fiza pur-noor hai
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa
Sarkar ki aamad ! marhaba !
Dildaar ki aamad ! marhaba !
Sohne ki aamad ! marhaba !
Makki ki aamad ! marhaba !
Madni ki aamad ! marhaba !
Piyare ki aamad ! marhaba !
Huzoor ki aamad ! marhaba !
Pur-noor ki aamad ! marhaba !
Aaqa ki aamad ! marhaba !
Daata ki aamad ! marhaba !
Sab mil kar bolo ! marhaba !
Sab jhoom ke bolo ! marhaba !
Ya rasoolallah, ya habiballah
pukaro, ya rasoolallah, ya habiballah
Sub’h taiba main hu’ai bat’ta hai bada noor ka
Sadqa lene noor ka aaya hai taara noor ka
Main gada tu badshah bhar de piyaala noor ka
Noor din doona tera de daal sadqa noor ka
Ya rasoolallah, ya habiballah
Pukaro, ya rasoolallah, ya habiballah
Teri nasl e paak main hai bachcha bachcha noor ka
tu he aain e noor tera sab gharaana noor ka
Naariyon ka dor tha dil jal raha tha noor ka
Tom ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka
Ya rasoolallah, ya habiballah
Pukaro, ya rasoolallah, ya habiballah
Taaj wale dekh kar tera amama noor ka
Sar jhukate hain ilaahi bolbaala noor ka
Aye “Raza” ye Ammad e Noori ka faiz e noor hai
Ho gayi meri gazal padh kar qasida noor ka
Sarkar ki aamad ! marhaba !
Dildaar ki aamad ! marhaba !
Sohne ki aamad ! marhaba !
Makki ki aamad ! marhaba !
Madni ki aamad ! marhaba !
Piyare ki aamad ! marhaba !
Huzoor ki aamad ! marhaba !
Achhe ki aamad ! marhaba !
Sachche ki aamad ! marhaba !
Huzoor ki aamad ! marhaba !
Pur-noor ki aamad ! marhaba !
Aaqa ki aamad ! marhaba !
Daata ki aamad ! marhaba !
Sab mil kar bolo ! marhaba !
Sab jhoom ke bolo ! marhaba !
Ya rasoolallah, ya habiballah
Pukaro, ya rasoolallah, ya habiballah
Ya habib e kibriya, ahla-wwa-sahlan marhaba
Mustafa-o-Murtaza, ahla-wwa- sahlan marhaba
Peshawa e ambiya, ahla-wwa-sahlan marhaba
Mursalin ke muqtada, ahla-wwa-sahlan marhaba
Naat Khaan : Owais Raza Qadari ,
Ghulam Mustafa Qadari