Assalamu Alaikum

Sallay Ala Pukaro Sarkar Aa Rahe Hain

Allahumma sallay ala sayyidina muhammadin
Sallay ala pukaro, sarkar aa rahe hain
Utho aye be-sahaaron, sarkar aa rahe hain
Allahumma sallay ala sayyidina muhammadin

Maulood ki ghadi hai, chalo Aamena ke ghar par
Aye khuld ki bahaaron, sarkar aa rahe hain

Jo mangna hai mango, jo lena hai so lelo
Duniya ke taajdaaron, sarkar aa rahe hain

Pur-noor hai zamana, sub’h e shab e wilaadat
Parda utha hai kiska, sub’h e shab e wilaadat

Piyaare Rabi-ul-Awwal, teri jhalak ke sadqe
Chamka diya naseeba, sub’h e shab e wilaadat

Aayi nayi huloomat, sikka naya chalega
Aalam ne rang badla, sub’h e shab e wilaadat

Nisaar teri chahal pahal par, hazaaron eid e rabiul-awwal
Siwa’ae Iblees ke jahan main, sabhi to khushiyan mana rahe hain

Zamane bhar ka ye qayida hai, ke jiska khana usi ka gaana
Ham nematain jinki kha rahe hain, unhin ke ham geet gaa rahe hain

Aamena bibi ka jaya, barahwin tareekh aaya
Sub’h sadiq ne sunaya, salwa-tullah ahaik

Kaabe badrud-duja tum pe karodon durood
Taiba ke shamsud-duha, tum pe karodon durood

Sub’h taiba main hu’ai, bat’ta hai baada noor ka
Sadqa lene noor ka, aaya hai taara noor ka

Ya rasoolallah ke naare se jinko piyar hai
Ham ne ye naara lagaya apna beda paar hai

Sarkar e do-jahan ki tazeem laazami hai
Jhuk jaao chand, taaron, sarkar aa rahe hain

Jannat ke dar khule hain, rahemat baras rahi hai
Kya gham hai, gham ke maaro, sarkar aa rahe hain

 

Naat Khaan : Owais Raza Qadari

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button