Dil ulfat e sarkar basane ke liye hai
Jaa.n aap ki hurmat pe mitaane ke liye hai
Dil kahene laga karte hi Roze ka nazaara
Ye naqsh to aankhon main sajhaane ke liye hai
Kitni badi nemat hai ye aaqa ka waseela
Bandon ko jo maula se milaane ke liye hai
Aati hai jo aankhon main nami naat se pahele
Ye mad’h ke aadab sikhaane ke liye hai
Paigham sunati hai yahi aaya e tat’heer
Izzat mere aaqa ke gharaane ke liye hai
Ham ummati unke hain to kaise rahen mehroom
Jab unka karam saare zamaane ke liye hai
“Sarwar” jo bulawa nahin aaya kayi din se
Ye teri talab aur badhaane ke liye hai
Shayar : Sarwar Husain Naqshbandi
Naat Khaan : Sarwar Husain Naqshbandi