Ye Kis Shahenshah e Wala ki Aamad Aamad Hai
Ye ki shahenshah e waala ki aamad aamad hai
Ye kon se shah e baala ki aamad aamad hai
Ye aaj kahe ki shadi hai, arsh kyoon jhooma
Lab e zamee.n ko lab e aasma ne kyoon jhooma
Rusool unhi ka to muzda soonane aa’ae hain
Unhi ke aane ki khushiyaa.n manane aa.ae hain
Firishte aaj jo dhoome machane aa.ae hain
Unhi ke aane ki shadi rachane aa.ae hain
Chamak se apni jahaa.n jagmagane aa.ae hain
Mahak se apni ye kooche basaane aa.ae hain
Ye seedha rasta haq ka batane aa.ae hain
Ye haq ke bandon ko haq se milane aa.ae hain
Ra.aoof aaise hain aur ye raheem hain kitne
Ke girte, padton ko seene lagane aa.ae hain
Yahi to sote hu.aon ko jagane aa.ae hain
Yahi to rote hu.aon ko hasane aa.ae hain
Inhe.n khuda ne kiya apne mulk ka malik
Inhee.n ke qabze main rab ke khazane aa.ae hain
Jo chahenge, jise chahenge ye use denge
Kareem hain ye khazane lootane aaye hain
Sabhi rasool ne kaha ‘izhaboo-ila-ghairi’
‘Ana-laha’ ka yemuzda sunane aa.ae hain
Ajab kareem hai ke khud mujreemon ke hami hain
Gunah-gaaron ki ye bakhshish karane aa.ae hain
Ye aaj taare zamee.n ki taraf hain kyoo.n mayil
Ye aasmaa.n se paiham hai noor kyoo.n naazil
Ye aaj kya hai zamane ne rang badla hai
Ye aaj kya hai ki ‘aalam ka dhang badla hai
Soonoge ‘La’ na zaban e kareem se “Noori”
Ye faiz-o-jood ke dariya bahane aa.ae hain
Naseeb tera chamak utha dekh to “Noori”
Arab ke chand lahad ke sirhane aa.ae hain
Shayar : Mustafa Raza Khaan Noori
Naat Khaan : Owais RazaQadari,
Abdul Habib Attari,
Maulana Bilal Raza Qadri