Chokhat Pe Mangta Tera Aa Gaya
Teri chokhat Pe mangta Tera aa gaya
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Main sarapa khata, tu sarapa ata
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Mujh kamine pe tune ye ahesan kiya
Maah e Ramzan main apna mheman kiya
Ye tera hi karam hai teri hi ata
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Tere roze ka deedar jis ne kiya
Tujh se muzda shafaat ka usne liya
Main bhi to ho gaya Aaj hazir, shaha
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Door ranj-o-alam saare karde, shaha
Mere Daman ko bhi aaj bhar de, shaha
Dar pe aaya tere bheek lene gada
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Tere hi sar saja hai shafaat ka taaj
Laaj wale ! tere hath hai meri laaj
Bakhshawana mujhe bhi ba-roz-e-jaza
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Main to qabil na tha, ae shah e do-jahan
Mujh sa aasi kahan aur tera dar kahan
Ye tera hi karam he teri hi ata
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Kab piyunga main sharbat teri deed ka
Ab to rakh le bharam meri ummeed ka
Ek jhalak hi khudara dikha de, shaha
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Be sahara hun main, gham ka mara hun main
Lakh paapi sahi par tumhara hun main
Bahr e ghausul-wara apne seene laga
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Jaan duniya ke gham main sulagti Rahi
Aankh meri isi gham main roti rahi
Mujh ko bahr e Raza apne gham main rula
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Ae kas e be-kasan dar tera chhod kar
Jhidkiyan gair ki khane jaaun kidhar
Tere tukdon pe palta rahun main sada
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Jab madine se rukhsat main hone lagun
Hichkiyan bandh kar kaash rone lagun
Mujh ko soz e jigar aesa karde ata
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Hai muqaddar main gar lautana apne ghar
Kaash ! Ho jaye aesa ki qalb-o-jigar
Chhod jaye idhar ye “Ubaid e Raza”
Meri bigdi bana de, shah e do-sara
Shayar : Owais Raza Qadari
Naat khaan : Owais Raza Qadari