वल्लाह वल्लाह वल्लाह
वल्लाह वल्लाह वल्लाह
ज़िंदगी ये नहीं है किसी के लिए
ज़िदगी है नबी की नबी के लिए
ना समझ मरते हैं ज़िदगी के लिए
जीना मरना है सब कुछ नबी के लिए
चाँदनी चार दिन है सभी के लिए
है सदा चाँद ‘अब्दुन्नबी के लिए
अंत-फ़ी-हिम के दामन में मुन्किर भी है
हम रहे इशरते-दाइमी के लिए
दाग़े-इश्क़े-नबी ले चलो क़ब्र में
है चराग़े-लहद रोशनी के लिए
ऐश कर लो यहाँ, मुन्किरों ! चार दिन
मर के तरसोगे इस ज़िदगी के लिए
नक़शे-पाए-सगाने-नबी देखिये
ये परा है बहुत रहबरी के लिए
मस्लके-आला हज़रत सलामत रहे
एक पहचान दीने-नबी के लिए
मस्लके-आला हज़रत पे क़ाइम रहो
ज़िंदगी दी गई है इसी के लिए
सुल्हे-कुल्ली नबी का नहीं, सुन्नियो !
सुन्नी मुस्लिम है सच्चा नबी के लिए
वो बुलाते हैं कोई यो आवाज़ दे
दम में जा पहुँचूँ मैं हाज़री के लिए
ऐ नसीमे-सबा ! उन से कह दे ज़रा
मुज़्तरिब है गदा हाज़री के लिए
जिन के दिल में है इश्क़े-नबी चमक
वो तरसते नहीं चाँदनी के लिए
जिन के दिल में है इश्क़े-नबी की चमक
वो हैं नज्मे-ज़माँ रोशनी के लिए
“अख़्तरे-क़ादरी” ख़ुल्द में चल दीया
ख़ुल्द वा है हर इक क़ादरी के लिए
Wallah ! Wallah ! Wallah
Wallah ! Wallah ! Wallah
Zindagi ye nahin hai kisi ke liye
Zindagi hai nabi ki nabi ke liye
Na-samajh marte hain, zindagi ke liye
Jeena marna sab kuchh nabi ke liye
Chandani chaar din, hai sabhi ke liye
Hai sada chand ‘Abdu-nnabi ke liye
Ant-fee-him ke daaman main munkir bhi hai
Ham rahe ‘Ishrat e daaimi ke liye
Aaish kar lo yahaa.n, munkiron chaar din
Mar ke tarsoge is zindagi ke liye
Naqsh e paa e sagaan e nabi dekhiye
Ye pata hai bahut rahbari ke liye
Dagh e ishq e nabi le chalo qabar main
Hai charaagh e lahad roshani ke liye
Maslak e Aala Hazrat salaamat rahe
Aek pahchan deen e nabi ke liye
Maslak e Aala Hazrat pe qaaim raho
Zindagi di gaai hai isi ke liye
Sul’h e kulli nabi ka nahin, sunniyon
Sunni muslim hai sachcha nabi ke liye
Wo bulaate hain koi ye aavaz de
Dam main ja pahunchun main haazari ke liye
Ae naseem e saba ! Unse kah de zara
Muztarib hai gada haazari ke liye
Jin ke dil main hai ishq e nabi ki chamak
Wo taraste nahin chandani ke liye
Jin ke dil main hai ishq e nabi ki chamak
Wo hain najm e zamaa.n roshani ke liye
“Akhtar e qadri” Khuld main chal diya
Khuld waa hai har ik qaadari ke liye
Shayar : Akhtar Raza Khaan Baraili
Naat Khaan : Owais Raza Qadri,
Asad Iqbal Kalkatwi,
Hafiz Tahir Qadri,