Mustafa Jane Rahemat Pe Lakhon Salam
Mustafa Jane Rahemat Pe Lakho Salam
Sham e Bazme Hidayat Pe Lakho Salam
Shahere yare irm tajdare haram
Naobahare shafat pe lakhon salam
Voh hamare nabi jinke ham ummati
Ummati teri qismat pe lakhon salam
Aek mera hi rahemat main dava nahi
Shah ki sari ummat pe lakhon salam
Voh dason jinko jannat ka muzda mila
Us mubarak jamaat pe lakhon salam
Dooro nazdik ke sunne vale voh kan
Kan e lale karamat pe lakhon salam
Jiske mathe shafaat ka sahera raha
Us jabin e saadat pe lakhon salam
Jiske sajde ko mehrab e kaba juki
Un bhaon ki latafat pe lakhon salam
Jis taraf uth gayi dam main dam aagaya
Us nigahen inayat pe lakhon salam
Patli patli gul e qudsaki pattiyan
Un labon ki nazakat pe lakhon salam
Voh dahan jiski har baat vahia e khuda
Chashmaa e ilmo hikmat pe lakhon salam
Voh zaban jis ko sab kun ki kunji kahain
Uski nafiz hukumat pe lakhon salam
Jis ki taskin se rote huae hans pade
Us tabssum ki aadat pe lakhon salam
Jis suhani ghadi chamaka taiba ka chamd
Us dil afroz e saat pe lakhon salam
Kis ko dekha ye musa se puchhe koi
Aankhen valon ki himmat pe lakhon salam
Ham gharibon ke aaqa pe behad durood
Ham faqiron kisarvat p lakhon salam
Shab e asra ke dulha pe daim durood
Nausha e bazm e jannat pe lakhon salam
Ghus e aazam imamuttuqa wannoqa
Jalva e shan e qudrat pe lakhon salam
Hind ke badshah mere khaja piya
Unki shahi hukumat pe lakhon salam
Jiski mimbar bani gardan e aauliya
Us qadam ki karamat pe lakhon salam
Kat kar rakh diya jisne vahabi ka sar
Talvar e aala hazrat pe lakhon salam
Jisne bad mazhabon ke kilen dhadiye
Himmat e aala hazrat pe lakhon salam
Kash maheshar main jab unki aamad ho aur
bheje sab unki shaukat pe lakhon salam
Mujse khidmat ke qudsi kahain han “Raza”
Mustafa jane rahemat pe lakhon salamw
Sahyar | Aala Hazrat Imam Ahmad Raza |
Naat Khan | Owais Raza Qadari |
Kitab | Hadaiq E Bakhshis |