Ya Nabi Nazre Karam Farmana Aye Hasnain Ke Nana
ya nabi nazare karam farmana
aye hasnain ke nana aye hasnain ke nana
zahara pak ke sadqe hamko taiba mai bulvana
aye hasnain ke nana aye hasnain ke nana
aap ke dar ka hun main bhikari aap hain mere data
sare rishte naton se hain piyara apna nata
aap to hain aata hai jinko sab ki laj nibhana
aye hasnain ke nana aye hasnain ke nana
be saya hain lekin do jag par hain aap ka saya
arshe mualla bana mualla did ko rab ne bulaya
hashr talak na hoga kisi ka aesa aana jana
aye hasnain ke nana aye hasnain ke nana
saj gayi hai milad ki mahefil kya hai khub nazara
kaifo masti main duba hai dekho aalam sara
dhundh rahi hai aap ki rahemat bakhshish ka bahana
aye hasnain ke nana aye hasnain ke nana
nisbat ka faizan to dekho khadime Ghouse jali hun
karta hai mujpe naz zamana me ausaafe Ali hun
aap ki aal ke dar ka sag hun saail hun purana
aye hasnain ke nana aye hasnain ke nana