जल्वा है, नूर है के सरापा रज़ा का है
तस्वीरे-सुन्नियत है के चेहरा रज़ा का है
वादी रज़ा की, कोहे-हिमाला रज़ा का है
जिस सम्त देखिये वो इलाक़ा रज़ा का है
जो उस ने लिख दिया है, सनद है वो दीन में
अहले-क़लम की आबरू नुक़्ता रज़ा का है
अगलों ने तो लिखा है बहुत दीन पर
जो कुछ है इस सदी में वो तन्हा रज़ा का है
किस की मजाल है जो नज़र भी मिला सके
दरबारे-मुस्कफ़ा में ठिकाना रज़ा का है
दरिया फ़साहतों के रवाँ शाइरी में हैं
ये सहले-मुमतना है के लहज़ा रज़ा का है
दस्तार आ रही है ज़मीं पर जो सर उठे
कितना बुलंद आज फरेरा रज़ा का है
छूता है आसमान को मीनार अज़्म का
यानी अटल पहाड़ इरादा रज़ा का है
अल्फ़ाज़ बह रहे हैं दलीलों की धार पर
चलता हुवा क़लम है के धारा रज़ा का है
इस दौरे-पुर-फ़ितन में, “नज़र”! खुश-अक़ीदगी
सरकार का करम है, वसीला रज़ा का है
Jalwa hai, Noor hai ke sarapa Raza ka hai
Tasveer e sunniyat hai ke chehra Raza ka hai
Wadi Raza ki, koh e himala Raza ka hai
Jis samt dekhiye wo ilaaqa Raza ka hai
Jo usne likhdiya hai, sanad hai wo deen main
Ahl e qalam ki aabaroo nuqta Raza ka hai
Aglon ne likha hai bahut ilm e deen par
Jo kuchh hai is sadi main wo tanha Raza ka hai
Kisi ki majaal hai jo nazar bhi mila sake
Darbaar e Mustafa main thikaana Raza ka hai
Dariya Fasaahaton ke ravaa.n sha’airi main hain
Ye sahal e mumtana hai ke lehja Raza ka hai
Dastaar aa rahi hai zamee.n par jo sar uthe
kitna buland aaj farera Raza ka hai
Chhoota hai aasmaan ko meenaar ‘azam ka
Yani atal pahaad iraada Raza ka hai
Alfaaz bah rahe hain daleelon ki dhaar par
Chalta huaa qalam hai ke dhaara Raza ka hai
Is daur e pur-fitan main, “Nazar“! khush aqeedagi
Sarkar ka karam hai, waseela Raza ka hai
Shayar : Profesar Jameel Nazar
Naat Khaan : Owais Raza Qadri,
Hafiz Ghulam Mustafa Qadri