Karam Ke Baadal Baras Rahe Hain Dilon Ki Kheti Hari Bhari Hai
करम के बादल बरस रहे हैं, दिलों की खेती हरी भरी है
ये कौन आया के ज़िक्र जिस का नगर नगर है गली गली है
ये कौन बन कर क़रार आया, ये कौन जाने-बहार आया
गुलों के चेहरे हैं निखरे निखरे, कली कली में शगुफ़्तगी है
नबी को अपना ख़ुदा न मानो, मगर ख़ुदा से जुदा न मानो
है अहले-ईमाँ का ये अक़ीदा, ख़ुदा ख़ुदा है, नबी नबी है
दीये दिलों के जलाए रखना, नबी की महफ़िल सजाए रखना
जो राहते-दिल सुकूने-जाँ है, वो ज़िक्र ज़िक्रे-मुहम्मदी है
न मांगो दुनिया के तुम ख़ज़ीने, चलो नियाज़ी चले मदीने
के बादशाही से बढ़ के प्यारे नबी के दर की गदागरी है
Karam ke baadal baras rahe hain
Dilon ki kheti hari bhari hai
Ye kaun aaya ke zikar jis ka
Nagar nagar hai, gali gali hai
Ye kaun ban kar qaraar aaya
Ye kaun jaan e bahaar aaya
Gulom ke chehre hain nikhre nikhre
Kali kali main shaguftagi hai
Nabi ko apna khuda na maano
Magar khuda se juda na jaano
Hai ahl e imaa.n ka ye aqeeda
Khuda khuda hai, nabi nabi hai
Diye dilon ke jalaae rakhna
nabi ki mahfil sajhaae rakhna
Jo raahat e dil, sukoon e jaa.n hai
Wo zikar zikar e muhammadi hai
Na mango duniya ke tum khazeene
Chalo “Niyazi” chale madine
Ke baadshaahi se badh ke piyaare
Nabi ke dar ki gadaagari hai
Shayar : Maulana Abdul Sattar Niyazi
Naat Khaan : Zulfikar Ali Husaini