Pandrah So Sala Jashn Hai Rab Ke Habeeb Ka Lyrics In Hindi And Roman English

पंद्रह-सो-साला जश्न है, रब के हबीब का
हर बच्चा मेरे शहर का, कहता है मरहबा

जिब्रील ने काबे पर परचम लेहराया है
आमद का ज़माने को पैग़ाम सुनाया है
ख़ूद रब्बे-दो-आलम ने मीलाद मनाया है
हम लोग तो बंदे हैं, क्यूँ न कर मनाएँगे

उँगली के इशारों से जो चाँद से खेले हैं
इक पल में ज़मीं से जो मेअराज को पहुँचे हैं
जिब्रीले-अमीं जिन की ताजीम को झुकते हैं
बी आमेना के घर पर, तशरीफ़ वो लाएँगे

जो आज ज़माने में हर सम्त उजाला है
ये रब की क़सम उस के क़दमों का उतारा है
जो सारे रसूलों का नबियों का आक़ा है
ईन्सान की सूरत में, दुनिया में वो आया है

शैतान के चेले जो कहते हैं इसे बिदअत
अफ़सोस उन्हों ने तो सीखी ही नहीं उल्फ़त
पछताएँगे महशर में पाएँगे बड़ी ज़िल्लत
सरकारे-मदीना को क्या चेहरा दिखाएँगे

मिस्कीनों, यतीमों को हम खाना खिलाएँगे
शरबत की सबीलैं भी हर गाह में लगाएँगे
दनिया को मुहब्बत का पैग़ाम सुनाएँगे
इम्साल हम कुछ अैसे, मीलाद मनाएँगे

ए “शौक़े-फ़रीदी” हम मीलाद के दीवाने
मीलाद मनाते हैं, मीलाद मनाएँगे



Pandrah-so-sala jashn hai, Rab ke Habeeb ka
Har Bachcha mere shahar ka, kahta hai marhaba

Jibreel ne ka’be par parcham lehraya hai
Aamad ka zamaane ko paighaam sunaaya hai
Khud Rabb e do-aalam ne milaad manaaya hai
Ham log to bande hain, kyoo.n kar na mana’aenge

Aungali ke ishaaron se jo chand se khele hain
Ik pal main zamee.n se jo me’araaj ko pahonche hain
Jibreel e Ameen jin ki tazeem ko jhukte hain
Bi aamina ke ghar par, tashreef wo la’aenge

Jo aaj zamane main har samt ujhala hai
Ye Rab ki qasam uske qadmon ka utaara hai
Jo saare Rasoolon ka Nabiyon ka Aaqa hai
Insaan ki soorat main, duniya main wo aaya hai

Shaitaan ke chele jo kahrte hain ise bid’at
Afsos unhon ne to seekhi hi nahin ulfat
Pachhta’aenge Mahshar main pa’aenge badi zillat
Sarkar e madina ko kya chehra dikha’aenge

Miskeenon yateemon ko ham khaana khila’aenge
Sharbat ki sabeelen bhi har gaah main laga’aenge
Duniya ko muhabbat ka paighaam suna’aenge
Imsaal ham kuchh aaise milaad mana’aenge

Aye “Shauq e Fareedi” ham, milaad ke diwaane
Milaad manaate hain, Milaad mana’aenge

Shayar : Shauq Faridi
Naat Khaan : Syad Abdul Qadir,
Shabbir Barkati,
Moinuddin Bulbul e Mustajab

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top