Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saya Ghaus e Aazam Ka Lyrics In Hindi And Roman English

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौषे-आज़म का
हमें दोनों जहाँ में है सहारा ग़ौषे-आज़म का

मुरीदी ला-तख़फ़ कह कर तसल्ली दी ग़ुलामों को
क़यामत तक रहे बे-ख़ौफ़ बंदा ग़ौषे-आज़म का

हमारी लाज किस के हाथ है ! बग़दाद वाले के
मुसीबत टाल देना काम किस का, ग़ौषे-आज़म का

अज़ीज़ों ! कर चुको तय्यार जब मेरे जनाज़े को
तो लिख देना कफ़न पर नामे-वाला ग़ौषे-आज़म का

निदा देगा मुनादी हश्र में यूँ क़ादरियों को
किधर हैं क़ादरी ? कर लें नज़ारा ग़ौषे-आज़म का

मुहम्मद का रसूलों में है जैसे मर्तबा आला
है अफ़्ज़ल औलिया में यूँ ही रुत्बा ग़ौषे-आज़म का

गए इक वक़्त में सत्तर मुरीदों के यहाँ हज़रत
समझ में आ नहीं सकता मुअम्मा ग़ौषे-आज़म का

लहद में जब फ़रिश्ते मुझ से पूछेंगे तो कह दूँगा
तरीक़ा क़ादरी हूँ, नाम लेवा ग़ौषे-आज़म का

फ़रिश्तों ! रोकते क्यूँ हो मुझे जन्नत में जाने से
ये देखो हाथ में दामन है किस का, ग़ौषे-आज़म का

जनाबे-ग़ौष दुल्हा और बराती औलिया होंगे
मज़ा दिखलाएगा महशर में सेहरा ग़ौषे-आज़म का

मुख़ालिफ़ क्या करे मेरा के है बे-हद करम मुझ पर
ख़ुदा का, रहतुल-लिल-आलमीं का, ग़ौषे-आज़म का

कभी क़दमों पे लौटूँगा, कभी दामन पे मचलूँगा
बता दूँगा के यूँ छुटता है बंदा ग़ौषे-आज़म का

जमीले-क़ादरी ! सौ जाँ से हो क़ुर्बान मुर्शिद पर
बनाया जिस ने तुझ जैसे को बंदा ग़ौषे-आज़म का



Khuda ke fazl se ham par hai saaya ghaus e aazam ka
Hamen donon jahan main hai sahaara ghaus e aazam ka

Mureedi la-takhaf kah kar tasalli di ghulaamon ko
Qayaamat tak rahe be-khauf banda ghaus e aazam ka

Hamaari laaj kis ke haath hai ! baghdaad wale ke
Museebat taal dena kaam kis ka ! ghaus e aazam ka

Azeezon kar chuko taiyaar jab mere janaaze ko
To likh dena kafan par naam e wala ghaus e aazam ka

Nida dega munaadi hashr main yoo.n qadriyon ko
Kidhar hain qadri ? kar lain nazaara ghaus e aazam ka

Muhammad ka rasoolon main hai jaise martaba aala
Hai afzal aauliya main yoo.n hi rutba ghaus e aazam ka

Gaye ek waqt main sattar mureedon ke yahan hazrat
Samajh main aa nahin sakta muamma ghaus e aazam ka

Lahad main jab firishte mujh se poochenge to kah dunga
Tareeqa qaadri hoo.n, naam lewa ghaus e aazam ka

Firishton ! rokate kyoo.n ho mujhe jannat main jaane se
Ye dekho haath main daaman hai kis ka ghaus e aazam ka

Janaabe-ghaus dulha aur baraati aauliya honge
Maza dikhla’aega mahshar main sehra ghaus e aazam ka

Mukhaalif kya kare mera ke hai be-had karam mujh par
Khuda ka, rahmatul-lil-aalamin ka, ghaus e aazam ka

Kabhi qadmon pe lautunga, kabhi daaman pe machlunga
Bata doonga ke yoo.n chhoot’ta hai banda ghaus e aazam ka

Jameel e Qadri” ! sau jaa.n se ho qurbaan murshid par
Banaaya jis ne tujh jaise ko banda ghaus e aazam ka

 

Shayar : Maulana Jamil-ur-Rahman Qadri
Naar Khaan : Owais Raza Qadri,
Asad Raza Attari,
Hafiz Hasan Qadri

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top