Assalamu Alaikum

Bekhud Kiye Dete Hain Andaz Hijaabana|Aa Dil Main Tujhe Rakh

बेखुद किए देते हैं, अंदाज़े-हिजाबाना

बेख़ुद किए देते हैं, अंदाज़े-हिजाबाना
आ दिल में तुझे रख लूँ, ऐ जल्वा-ए-जानाना

इतना तो करम करना, ऐ चश्मे-करीमाना
जब जान लबों पर हो, तुम सामने आ जाना

क्यूँ आँख मिलाई थी, क्यूँ आग लगाई थी
अब रुख़ को छुपा बैठे, कर के मुझे दीवाना

जी चाहता है भेजूँ, तोहफ़े में उन्हें आँखें
दर्शन का भी दर्शन हो, नज़राने का नज़राना

दुनिया में हमें तुम ने, जब अपना बनाया है
महशर में भी केह देना, ये है मेरा दीवाना

मैं होशो-हवास अपने, इस बात पे खो बैठा
हँस कर जो कहा तुम ने, लो आया मेरा दीवाना

पीने को तो पी लूँगा, पर अर्ज़ ज़रा सी है
अजमेर का साक़ी हूँ, बग़दाद का मैख़ाना

बेदम तेरी क़िस्मत में, चक्कर हैं इसी दर के
छूटा है न छूटेगा, संगे-दरे-जानाना

साक़ी तेरे आते ही, ये जोश है मस्ती का
शीशे पे गिरा शीशा, पैमाने का पैमाना

मालूम नहीं बेदम ! मैं क्यूँ हूँ और क्या हूँ
यूँ अपनों में अपना हूँ, बेगानों में बेगाना

=================In English=================

Bekhud Kiye Dete Hain, Andaaz Hijaabana

Bekhud kiye dete hain, Andaaz Hijaabana
Aa dil main tujhe rakh lun, ae jalwa e jaanana

Itna to karam karna, ae chashm e kareemana
Jab jaan labon par ho, tum saamane aa jaana

Kyoo.n aankh milaayi thi, kyoo.n aag lagaayi thi
Ab rukh ko chhupa baithe, karke mujhe deewana

Duniya main hamein tum ne, jab apna banaaya hai
Mahshar main bhi keh dena, ye hai mera deewana

Kya lutf ho mahshar main, qadmon main girun unke
Wo hans ke kahe ja’aen, deewana hai deewana

Jee chaahata hai bhaijun, tohfe main unhen aankhen
Darshan ka bhi darshan ho, nazraane ka nazraana

Main hosh-o-hawas apne, is baat pe kho baitha
Jab too ne kaha hans kar, aaya mera deewana

Peene ko to pee lunga, par arz zara si hai
Ajmer ka saaqi hun, baghdaad ka maikhaana

Bedam” ! teri qismat main, chakkar hain isi dar ke
Choota hai na chhootega, sang e dar e jaanana

Saqi tere aate hi, ye josh hai masti ka
Sheeshe pe gira sheesha, paimaane ka paimaana

Maloom nahin “Bedam“, ! Main kaun hun aur kya hun
Yoo.n apnon main apna hun, begaanon main begaana

Shayar : Bedam Shah Warsi
Naat Khaan : 
Owais Raza Qadri,
Amjad Sabri,
Hafiz Ahmad Raza Qadri

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button