Assalamu Alaikum

Mustafa e Zate Yakta Aap Hain Lyrics

मुस्तफ़ा-ए-ज़ाते-यकता आप हैं

मुस्तफ़ा-ए-ज़ाते-यकता आप हैं

मुस्तफ़ा-ए-ज़ाते-यकता आप हैं
यक ने जिस को यक बनाया आप हैं

आप जैसा कोई हो सकता नहीं
अपनी हर ख़ूबी में तन्हा आप हैं

आबो-गील में नूर की पहली किरन
जाने-आदम, जाने-हव्वा आप हैं

ला-मकाँ तक जिस की फैली रौशनी
वो चराग़े-आलम-आरा आप हैं

हुस्ने-आव्वल की नुमूदे-अव्वलीं
बज़्मे-आख़िर का उजाला आप हैं

आप की तलअत ख़ुदा का आईना
जिस में चमके हक़ का जल्वा आप हैं

आप को रब ने किया अपना हबीब
सारी ख़ल्क़त का ख़ुलासा आप हैं

आप की ख़ातिर बनाए दो-जहाँ
अपनी ख़ातिर जो बनाया आप हैं

आप से ख़ुद आप का साइल हुँ मैं
जाने-जाँ मेरी तमन्ना आप हैं

आप की तलअत को देखा जान दी
कब्र में पहुँचा तो देखा आप हैं

बर दरत आमद गदा बहरे-सुवाल
हो भला “अख़्तर का दाता आप हैं

==========================In English=========================

Mustafa-e-Zaate-Yakta Aap Hain

Mustafa-e-Zaate-Yakta Aap Hain
Yak Ne Jis Ko Yak Banaya Aap Hain

Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahin
Apni Har Khoobi Mein Tanha Aap Hain

Aab-o-Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
Jaan-e-Aadam, Jaan-e-Hawwa Aap Hain

La-Makan Tak Jis Ki Faili Roshni
Wo Charagh-e-Aalam-Aara Aap Hain

Husn-e-Awwal Ki Namude-Awwalin
Bazm-e-Aakhir Ka Ujaala Aap Hain

Aap Ki Tal’at Khuda Ka Aayina
Jis Mein Chamke Haq Ka Jalwa Aap Hain

Aap Ko Rab Ne Kiya Apna Habeeb
Saari Khalqat Ka Khulaasa Aap Hain

Aap Ki Khatir Banaye Do-Jahan
Apni Khatir Jo Banaaya Aap Hain

Aap Se Khud Aap Ka Saayil Hun Main
Jaan-e-Jaan Meri Tamanna Aap Hain

Aap Ki Tal’at Ko Dekha Jaan Di
Qabr Mein Pahuncha To Dekha Aap Hain

Bar Darat Aamad Gada Bahre-Suwal
Ho Bhala “Akhtar” Ka Daata Aap Hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button