Aek Nazar Aasaman Pe Daal Marhaba

Ya rasoolallah marhaba marhaba
Ya habiballah marhaba marhaba

Be-kason se hai jinhain piyar vohi aa.ae hain
Jo do-aalam ke hai ghamkhaar vohi aa.ae hain

Aek nazar aasman pe daal marhaba
Casamka maah e noor ka hilaal marhaba

Jhande lagao, galiyan sajhao
Karlo charagha, ghar jhagmagao
Raazi hoga Rabbe zuljalal, marhaba

Mahefi saja.aen, Naaten suna.aen
Aaqa ki aamad ki dhoome macha.aen
 Roz-o-Shab yahi ho apna haai, marhaba

La-Raib nabiyon ke saalar aa.ae
Aa.ae do-aalam ke ghamkhaar aa.ae
Shahkaar e Rabb e Zljalal,marhaba

Aashiq ke dil jhagmagane lage hain
dekho jara muskurane lage hain
Deed ni hai Unke khadd-o-khaal, marhaba

Sadqa wilaadat ka jalwa dikhaa do
Dil ki lagi ab to Aaqa bujhaa do
Dikhla do apna ab jamaal, marhaba

Jood-o-sakhavat hai aadat tumhari
Phaila.aen daaman khade hain bhikaari
Kardo karam Aamena ke laal, marhaba

Jaam e shahadat piya hai jinhon ne 
Ahl e soonan ko jeela di unhon ne
Yaad aa,aenge voh har saal, marhaba

Shadi  ke naghmen sunaate rahainge
Jashn e wilaadat manate rahainge
Vaar dainge apna jaan-o-maal, marhaba

Padhne laga “Ubaid” unki naaten
Hone lagi chaarsu uski baaten
Faiz e Raza ka hai sab kamal, marhaba

 

Shayar : Owais Raza Qadari
Naat Khaan : Owais Raza Qadari

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top