Al-Madad Peeran e Peer Ghaus e Azam Dastageer
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर
रुत्बा ये विलायत में क्या ग़ौष ने पाया है
अल्लाह ने वलियों का सरदार बनाया है
है दस्ते-अली सर पर, हसनैन का साया है
मेरे ग़ौष की ठोकर ने मुर्दों को जिलाया है
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर (2)
लाख़ों ने उसी दर से तक़दीर बनाली है
बग़दादी सँवरिया की हर बात निराली है
डूबी हुई कश्ती भी दरिया से निकाली है
ये नाम अदब से लो, ये नाम जलाली है
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर (2)
हर फ़िक्र से तुम हो कर आज़ाद चले जाओ
ले कर के लबों पर तुम फ़रियाद चले जाओ
मिलना है अगर तुम को वलियों के शहेन्शाह से
ख़्वाजा से इजाज़त लो, बग़दाद चले जाओ
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर (2)
ग़ौर कीजे के निगाहे-ग़ौष का क्या हाल है
है क़ुतुब कोई, वली कोई, कोई अब्दाल है
दूर है जो ग़ौष से, बद-बख़्त है, बद-हाल है
जो दीवाना ग़ौष का है सब में बे-मिषाल है
दीन में ख़ुश-हाल है, दुनिया में माला-माल है
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर (2)
मिलने को शम्आ से ये परवाना तड़पता है
क़िस्मत के अंधेरों में दिन-रात भटकता है
इस इश्क़े-हक़ीडक़ी में इतना तो असर आए
जब बंद करूँ आँखें, बग़दाद नज़र आए
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर (2)
अंदाज़ बयाँ उन का हम कर नहीं पाएँगे
अजमेर से हो कर हम बग़दाद को जाएँगे
जब आए बला हम पर, हम उन को बुलाएँगे
तुम दिल से सदा तो दो, वो हाथ बढ़ाएँगे
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर (2)
या ग़ौष ! करम कर दो, या ग़ौष ! करम कर दो
वो दीन की दौलत से दामन को मेरे भर दो
बस इतनी गुज़ारिश है, बस एक नज़र कर दो
बग़दाद की गलियों में छोटा सा मुझे घर दो
अल-मदद, पीराने-पीर ! ग़ौषे-आज़म दस्तगीर (2)
=============English==============
Al-Madad, Peeran e Peer ! Ghaus e Aazam Dastageer
Rutba ye wilayat main kya ghaus ne paaya hai
Allah ne waliyon ka sardaar banaaya hai
Hai dast e Ali sar par, Hasnain ka saaya hai
Mere ghaus ki thokar ne murdon ko jilaaya hai
Al-madad, peeran e peer ! ghaus e aazam dastageer (2)
Laakhon ne usi dar se taqdeer banaali hai
Baghdaadi sanwarya ki har baat niraali hai
Doobi huyi kashti bhi dariya se nikaali hai
Ye naam adab se lo, ye naam jalaali hai
Al-madad, ! peeran e peer ghaus e aazam dastageer (2)
Har fikr se tum ho kar aazaad chale ja’ao
Le kar ke labon par tum fariyaad chale ja’ao
Milna hai agar tum ko waliyon ke shahenshah se
Khawaja se ijaazat lo, baghdaad chale ja’ao
Al-madad, peeran e peer ! ghaus e aazam dastageer (2)
Ghaur keeje ke nigaah e ghaus ka kya haal hai
Hai Qutub koi, wali koi, koi abdaal hai
Door hai jo ghaus se, bad-bakht hai, bad-haal hai
Jo deewana ghaus ka hai sab main be-misaal hai
Deen main khush-haal hai, Duniya main maala-maal hai
Al-madad, peeran e peer ! ghaus e aazam dastageer (2)
milne ko Sham’a se ye parvaana tadapta hai
Qismat ke andheron main din-raat bhatakta hai
Ek ishq e haqeeqi main itna to asar aa’ae
Jab band karoo.n aankhen, baghdaad nazar aa’ae
Al-madad, peeran e peer ! ghaus e aazam dastageer (2)
Andaaz bayaa.n unka ham kar nahin paaenge
Ajmer se ho kar ham baghdaad ko jaaenge
Jab aa’ae bala ham par, ham unko bulaaenge
Tum dil se sada to do, woh haath badhaaenge
Al-madad, peeran e peer ! ghaus e aazam dastageer (2)
Ya ghaus ! karam kar do, Ya ghaus ! karam kar do
Wo deen ki daulat se daaman ko mere bhar do
Bas itni guzaarish hai, bas aek nazar kar do
Baghdaad ki galiyon main, chhota sa mujhe ghar do
Al-madad, peeran e peer ! ghaus e aazam dastageer (2)
Naat Khaan : Azeem Naza