Alam Uthaae Jo Krbal Main Aa Gaae Abbas
Alam uthaae jo karbal main aa gaae Abbas
Yazeediyat pe qayamat si dha gaae Abbas
Nazar main hashami Janbaz Ki voh Haibat hai
Yazeedi faujh ki zail Tamam quwwat hai
Dikhai deti unhen har taraf qayamat hai
Bapa hai shaur, ke dekho voh aa gaae Abbas
duaaen Sayyada Zahara ki jo rang lai hain
Shaheed bahi se pahele jo aek bhai hai
Zameen ne aur Falak ne di ye gavahi hai
Wafa ka ahad Qasam se nibha gaae Abbas
Ye shair shair e khuda ka hai khanjar e khunkhar
Isi ko sara jahan kaheta hai alam bardar
Hai is ke naam se Daheshat main ab bhi ahl e naar
Kuchh aaisa Haidari jalwa dikha gaae Abbas
Khayal e khaima e Shabbir se hai dil chhalli
Katen hain baazu to teeron se jism hai zakhmi
Magar zuban pe Wallah gitaa nahin koi
Kuchh aaisa dars wafa ka sikha gaae Abbas
Vahi khuloos-o-wafa ke hai badshah e azeem
Nabi Deen ke alamdar-o-rahenuma-o-kareem
Ye baat “Shauq Fareedi” Sabhon ki Tasleem
Saleeka ishq-o-wafa ka sikha gaae Abbas
Shayar : Muhammad Shauqin Navaz Shauq Fareedi
Naat Khan : Hafiz Tahir Qadari