Barahwin Ka Chand Aaya Barahwin Ka Chand Aaya
Barahwin ka chand aaya, barahwin ka chand aaya
Barahwin ka chand aaya, barahwin ka chand aaya
Jhande lagaao, ghar ko sajhaao
Kar ke charaagha, khushiyaan manaao
Bachcha bachcha muskuraaya, barahwin ka chand aaya
Khushiyon ka taufa laaya, barahwin ka chand aaya
Shaadmani ke taraane, gunjhte hain dahar main
Wajhad main har shakhs aaya, barahwin ka chand aaya
Roshani hi rishani hai, chandni hi chandni
Zarra, zarra jhagmagaaya, barahwin ka chand aaya
Khil uthi kaliyan muhabbat ki, gulon par hai nikhaar
Baaagh e ulfat lahelahaaya, barahwin ka chand aaya
Ho gaye hain band saare zulmaton ke baab aaj
Dahar main voh noor aaya,barahwin ka chand aaya
Shukar karte hi raho rab ka,”Ujaagar” Sub’h-o-shaam
Rab ka kaisa fazl paaya, barahwin ka chand aaya
Shayar : Allaama Nisar Ali Ujaagar
Naat Khaan : Hafiz Ghulam Mustafa Qadari