Bas mera maahi sallay ala Bas mera maahi sallay ala
Main kuchh bhi nahin main kuchh bhi nahin
Rahemat e aalam ban kar aaya
donon jahan par unka saaya
Maalik e kul mahbub e Khuda
Main kuchh bhi nahin Main kuchh bhi nahin
Taaha, Yaasin, aur muzammil
Shah e madina ahmad e mursal
Shaafae-o-Naafae Roz e jazaa
Main kuchh bhi nahin main kuchh bhi nahin
Dono aalam sadqa jinka
Subh-o-shaam hai charcha jinka
Vird e malaik sallay ala
Main kuchh bhi nahin main kuchh bhi nahin
Arsh pe aane jaane wale
Rahemat e aalam haq ke ujale
Voh mahbub e Rabb e ula
Main kuchh bhi nahin main kuchh bhi nahin
Unke karam ki baat hai “aasi”
Rab ka karam aur duniya raazi
Voh hai makhzan e jood-o-sakha
Main kuchh bhi nahin main kuchh bhi nahin
Shayar : Hussain Aasi
Naat Khaan : Muhammad Hasan Raza Qadari