Charsoo Tera Jalwa Hai Ashraf Piya

Sarwara shaha karima dastageera ashrafa
Hurmat e Rooh e Payambar Yak nazar kun sooa e ma

Ye bada fazl Rab ka hai, Ashraf piya
Charsoo tera jalwa hai Ashraf piya

Naap paya na kad jab zamana tera
Jhhom kar bol utha phir diwana tera
Martaba kitna uncha hai, Ashraf piya!
Charsoo tera jalwa hai, Ashraf piya!

Tujh ko jaa.n main kahu.n, Jaan e jaana.n kahu.n
Ya main phir ‘Aashiq e jaan e imaa,n kahu.n
Rab hi jaane ke kya kya hai Ashraf piya
Charsoo tera jalwa hai, Ashraf piya

Takht e shaahi ko qadmon se thukra diya
Rab ne bakhsha tha aaisa tujhe hausala
Raaz kaisa anokha hai, Ashraf piya
Charsoo tera jalwa hai, Ashraf piya

Jaan e aalam ke sadqe se, aye sayyadi
Bakht e dil ki dava kijiae, murshidi
Toote dil ne pukara hai, Ashraf piya
Charsoo tera jalwa hai, Ashraf piya

Apne “Mash’hood” par kardo chashm e karam
Sun lo Arzi meri bahr e shaah e umam
Mere dil ki tamanna hai, Ashraf piya
Charsoo tera jalwa hai, Ashraf piya

 

Shayar : Mash’hood Raza Qadari Balrampuri
Naat Khaan : Syed Abdul Qadir Al-Qadri

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top