Allahumma salli ala sayyidina wa maulana muhammad
wa’ala sayyidina Aliyyi- wwa-Sayyidatina Fatima
Wa sayyidatina Zainab Wa sayyidina Hasan Wa Sayyidina Husain
Wa’ala aalihi wa sahbihi wa baarik wa sallim
Piyare nabi ki zaat par Rab ka durood hai
Sultan e dojahan par sab ka durood hai
Zahara pe bhejte jo durood-o-salam hai
Voh sachche ghulam hain, naik naam hain
Allah ke shair Haidar e qarrar par durood
Hazrat Hasan Husain ke kirdar par durood
Zainab ki bargah main salam e niyaz hai
Jo Murtaza ki ladli Zahara ka naz hai
Jannat main Mustafa ke Sahaba jahan rahen
Ya Rab meri duaa hai mere baba wahan rahen
Jannat main Fatima ki Kanizen jahan rahen
Ya Rab meri duaa hai meri man wahan rahen
Padhte hain gar durood to milta sawab hai
Bheje agar salam toaata jawab hai