Assalamu Alaikum

Ek Main Hi Nahin Un Par Qurban Zamana Hai | Ik Main Hi Nahin

इक मैं ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है

इक मैं ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे-दो-आलम का, महबूब यगाना है

कल पुल से हमें जिस, ने ख़ुद पार लगाना है
ज़हरा का वो बाबा है, हसनैन का नाना है

आओ दरे-ज़हरा पर, फैलाए हुए दामन
है नस्ले करीमों की, लजपाल घराना है

उस हाशमी दूल्हा पर, कौनैन को मैं वारूँ
जो हुस्नो-शमाइल में यकता-ए-ज़माना है

इज़्ज़त से क्यूँ न मर जाएँ, हम नामे-मुहम्मद पर
यूँही किसी दिन हम को, दुनिया से तो जाना है

हूँ शाहे-मदीना की, मैं पुश्त-पनाही में
क्या इस की मुझे पर्वा, दुश्मन जो ज़माना है

ये कह के दरे-हक़ से, ली मौत में कुछ मोहलत
मीलाद की आमद है, महफ़िल को सजाना है

क़ुर्बान उस आक़ा पर कल हश्र के दिन जिस ने
इस उम्मते-आसी को कमली में छुपाना है

सौ बार अगर तौबा टूटी भी तो हैरत क्या
बख़्शिश की रिवायत में तौबा तो बहाना है

हर वक़्त वो हैं मेरी दुनिया-ए-तसव्वुर में
ऐ शौक़ ! कहीं अब तो आना है न जाना है

पुर-नूर सी राहे हैं, गुंबद पे निगाहें हैं
जल्वे भी अनोखे हैं, मंज़र भी सुहाना है

हम क्यूँ न कहें उन से रूदादे-अलम अपनी
जब उन का कहा ख़ुद भी अल्लाह ने माना है

महरूमे-करम इस को रखिए न सरे-महशर
जैसा है नसीर आख़िर साइल तो पुराना है

==================In English=================

Ek Main Hi Nahin Un Par, Qurban Zamana Hai Lyrics

Ek main hi nahin un  par, qurbaan zamaana hai
Jo Rabb e do-aalam ka, mahboob yagaana hai

Kal pul se hamein jis ne, khud paar lagaana hai
Zahra ka woh baba hai, Hasnain ka nana hai

Us hashami dulha par, kaunain ko main waaroon
Jo husn-o-shamayil main yakta e zamaana hai

Izzat se kyoo.n na mar ja’aen, ham naam e Muhammad par
Yoonhi kisi din ham ko, duniya se jaana hai

Aa’ao dar e Zahra par, phaila’ae huae daaman
Ye nasl kareemon ki, lajpaal gharaana hai

Hoo.n shaah e madina ki, pusht-panaahi main
kya is ki mujhe parwa, dushman jo zamaana hai

Ye kah ke dar e haq se, li maut main kuchh mohlat
Milad ki aamad hai, mahfil ko sajaana hai

Qurbaan us Aaqa par, kal hashr ke din jis ne
Is ummat e aasi ko, kamli main chupaana hai

So-baar agar tauba, tooti bhi to hairat kya
Bakhshish ki riwaayat main, tauba to bahaana hai

Har waqt wo hain meri, duniya e tasawwur main
Ae shauq ! kahin ab to aana hai na jaana hai

Pur-noor su raahen hain, gumbad pe nigaahen hain
Jalwe bhi anokhe hain, manzar bhi suhaana hai

Ham kyoo.n na kahen unse, roodad e alam apni
Jab unka kaha khud bhi, Allah ne maana hai

Mahroom e karam isko, rakhiye na sar e mahshar
Jaisa hai “Nasir” ! aakhir sayil to puraana hai

Shayar : Peer Nasiruddin Nasir
Naat Khaan :
Owais Raza Qadri,
Milad Raza Qadri,
Qari Shahid Mahmood Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button