Fakhr e Bareli Mustafa Raza
Fakhr e bareli Mustafa Raza
Fakhr e bareli Mustafa Raza
Aye chashm e sunniyat ki ziya Mustafa Raza
Tum par hamari jaan phida Mustafa Raza
Muatafa Raza Mustafa Raza
Tumhi to jaanshin e Raza Mustafa Raza
Muatafa Raza Mustafa Raza
Aye Hamshabih e Ghaus ae ruhaani tajdaar
Tu aabaroo e Baagh e Raza Mustafa Raza
Aalim e Rabbani, Deen ki nishaani
Fakhr e bareli hai Muftiy e Aazam
Duniya e haq ne Muftiy e Aazam kaha tumhain
Piyare Raza ne naam rakha Mustafa Raza
Aaisa laga ke rooh main raahat utar gayi
Jab hamne tera naam liya Mustafa Raza
Akhtar Raza ko taaj e shariyat bana diya
Tum ne jo apna haath rakha Mustafa Raza
Soz e bilal, ishq e owaisi ke rang main
Tu hai rukh e nabi pe phida Mustafa Raza
Fariyaad tere dar pe hai aye murshid e azeem
Ho khatm har vabaa-o-balaa Mustafa Raza
Daheleez par jabeen hai, labon par muraad hai
Chashm e karam “Fareedi” pe ya Mustafa Raza
Naat Khaan : Hafiz Tahir Qadari