Falak ke nazaaro, zameen ke bahaaro
Sab eiden manaau, Huzoor aa ga’ae hain
Utho Gham ke maaron, chalo be-saharo
Khabar ye sunaau, Huzoor aa ga’ae hain
Anokha niraala, voh zi-shaan aaya
Voh saare Rasoolon, ka sultaan aaya
Are kajh-kulaaho.n, Are badshaaho.n
Nigaahe.n jhukaalo, Huzoor aa ga’ae hain
Huwa chaar-soo rahematon ka basera
Ujhala ujhala, savera savera
Haleema ko pahonchi khabar Aamena ki
Mere ghar main aa’ao, Huzoor aa ga’ae hain
Samaa.n hai sanaa e habeeb e khuda ka
Ye meelad hai sarwar e ambiya ka
Nabi ke gadaao, sab aek doosre ko
Gale se lagaao,Huzoor aa ga ‘ae hain
Hava’aon main jazbaat, hai marhaba ke
Faza’aon Main naghmaat, sallay alla ke
Duroodon ke gajhare, salaamon ke tohfe
Ghulaamon sajhaao, huzoor aa ga’ae hain
Kahaa.n main “Zahoori“, Kahaa.n Unki baaten
Karam hi karam hai, ye din aur raaten
Jahaa.n pe bhi aa’ao, Dilon ko jhagaao
Yahi kahete jaao, Huzoor aa ga’ae hain
Shayar : Muhammad Ali Zahoori Qasoori
Naat Khaan : Meelad Raza Qadari