Assalamu Alaikum

Hazir Hai Dar e Daulat Pe Gada Sarkar Tawajjoh Farmaein Lyrics

हाज़िर है दरे-दौलत पे गदा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ

हाज़िर है दरे-दौलत पे गदा, सरकार तवज्जोह फ़रमाएँ
मोहताजे-नज़र है हाल मेरा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ

मैं कब आने के क़ाबिल था, रहमत ने यहाँ तक पहुँचाया
सरकार पे तन-मन जान फ़िदा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ

मैं कर के सितम अपनी जाँ पर, क़ुरआन से जाऊँगा पढ़ कर
आया हूँ बहुत शर्मिंदा सा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ

आँसू आँसू में फ़रियादी और अर्ज़े-करम हिचकी हिचकी
धड़कन धड़कन देती है सदा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ

इक मैं ही नहीं, पूरी उम्मत, सारी दुनिया, सारी ख़ल्क़त
तकती है रस्ता रहमत का, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ

===============In English================

Hazir Hai dar e Daulat Pe Gada, Sarkar ! Tawajjoh Farmaein

Hazir hai dar e daulat pe gada, sarkar ! tawajjoh farmaein
Mohtaaj e nazar hai haal mera, sarkar ! tawajjoh farmaein

Main kab aane ke qaabil tha, rahmat ne yahan tak pahunchaya
Sarkar pe tan-man jaan fida, sarkar ! tawajjoh farmaein

Main kar ke sitam apni jaan par, quraan se ja’aunga Padh kar
aaya hun bahut sharminda sa, sarkar ! tawajjoh farmaein

Aansoon aansun main fariyaadi, aur arz e karam hichki hichki
Dhadkan dhadkan deti hai sada, sarkar ! tawajjoh farmaein

Ik main hi nahin, poori ummat, saari duniya, saari khalqat
Takti hai rasta rahmat ka, sarkar ! tawajjoh farmaein

Shayar : Hafiz Tayib
Naat Khaan : Owais Raza Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button