Husain jaise shahid e aazam jahan mai koi huaa nahin hai
Chhuri ke nichhe gala hai lekin kisi se koi geela nahin hai
Adoo the jab sar pe tegh tole husain sajde main jake bole
Madine walon gawah rahena namaz meri qaza nahin hai
Pukare Abbas aye Sakina main pani launga aye sakina
Kate hain baazu chhida hai seena abhi mera sar kata nahin hai
Gharib ummat ki bebasi par husain ka sar kata hai lekin
Yazeed jaise shaqi ke aage husain ka sar jhuka nahin hai
Husain farmae sathiyon se adaa karo poor jalal sajde
Hai Taigh, khanjar,Tabar ka saya hamara kya ab khuda nahin hai
Yazeed duniya main lakh aayen sitam kiye aur zulm dhaae
Charagh e Tauhid phir bhi “sajid” jala hai lekin bujha nahin hai