इमदाद कुन, इमदाद कुन, अज़-बंदे ग़म आज़ाद कुन
दर दीनो-दुनिया शाद कुन, या ग़ौषे-आज़म दस्त-दीर !
असीरों के मुश्किल-कुशा, ग़ौषे-आज़म !
फ़क़ीरों के हाजत-रवा, ग़ौषे-आज़म !
घिरा है बलाओं में बंदा तुम्हारा
मदद के लिए आओ, या ग़ौषे-आज़म !
तेरे हाथ में हाथ मैं ने दिया है
तेरे हाथ है लाज, या ग़ौषे-आज़म !
निकाला है पहले तो डूबे हुओं को
और अब डूबतों को बचा, ग़ौषे-आज़म !
भँवर में फ़ँसा है सफ़ीना हमारा
बचा, ग़ौषे-आज़म ! बचा, ग़ौषे-आज़म !
क़सम है के मुश्किल को मुश्किल न पाया
कहा हम ने जिस वक़्त, या ग़ौषे-आज़म !
मुरीदों को ख़तरा नहीं बहरे-ग़म से
के बेड़े के हैं ना-ख़ुदा, ग़ौषे-आज़म !
तुम्हीं दुख सुनो अपने आफ़त-ज़दों का
तुम्हीं दर्द की दो दवा, ग़ौषे-आज़म !
मेरी मुश्किलों को भी आसान कीजे
के हैं आप मुश्किल-कुशा, ग़ौषे-आज़म !
कहे किस से जाकर हसन अपने दिल की
सुने कौन तेरे सिवा, ग़ौषे-आज़म !
मेरे चाँद ! मैं सदक़े आ़जा इधर भी
चमक उठे दिल की कली, ग़ौषे-आज़म !
नज़र आए मुझ को न सूरत अलम की
न देखूँ कभी रू-ए-ग़म, ग़ौषे-आज़म !
Imdad kun imdad kun, azband e gham aazaad kun
Dar deen-o-duniya shaad kun, ya ghaus e aazam dastageer !
Aseeron ke mushkil-kusha, Ghaus e aazam !
Faqeeron ke haajat-rawa, ghaus e aazam !
Ghira hai balaaon main banda tumhara
Madad ke liye aa’ao, ya ghaus e aazam !
Tere haath main haath main ne diya hai
Tere haath hai laaj, ya ghaus e aazam !
Nikaala hai pahle to doobe hu’aon ko
Aur ab doobton ko bacha, ghaus e aazam !
Bhanwar main fansa hai safeena hamara
Bacha, ghaus e aazam ! bacha, ghaus e aazam !
Qasam hai ke mushkil ko mushakil na paaya
Kaha ham ne jis waqt, ya ghaus e aazam !
Mureedon ko khatra nahin bahr e gham se
Ke bede hain na-khuda, ghaus e aazam !
Tumhin dukh suno apne aafat-zadon ka
Tumhin dard ki do dawa, ghaus e aazam !
Meri mushkilon ko bhi aasaan keeje
Ke hain aap mushkil-kush, ghaus e aazam !
Kahe kis se jaakar “Hasan” apne dil ki
Sune kaun tere siwa, ghaus e aazam !
Mere chand ! main sadqe aaja idhar bhi
Chamak uthe dil ki kali, ghaus e aazam !
Nazar aa’ae mujh ko na soorat alam ki
Na dekhun kabhi roo e gham, ghaus e aazam !
Shayar : Maulana Hasan Raza Khaan Barelwi
Naat Khaan : Owais Raza Qadri