Ghar lutaana jaan dena koi tujh se seekhjaaen
Jaane aalam ho feeda aye khandan e ahl e bait
Kar liya nosh jisne shahadat ka jaam
Us Husain iban e haidar pe lakhon salam
Kaho Husain par salam kaho Husain par salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam mere Husain tujhe salam
Jis ko dhoke se kufe bulaya gaya
Aur bula kar ke nahaq sataya gaya
Jis ke bachcho ko piyasa rulaya gaya
Jis ki gardan pe khanjar chalaya gaya
Us Husain iban e haidar pe lakhon salam
Kaho Husain par salam kaho Husain par salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam mere Husain tujhe salam
Jis ko jhoola firishaten jhulate rahen
Loriyan deke noori sulate rahe
Jis ko kandhon pe aaqa bithate rahe
Us pe saffaq khanjar chalate rahe
Us Husain iban e haidar pe lakhon salam
Kaho Husain par salam kaho Husain par salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam mere Husain tujhe salam
Jis ka Nana doaalam ka sardar hai
Jo javanan e jannat ka sardar hai
Jo sarapa e mahboob e ghaffar hai
Jis ka sar tasht main zere talvar hai
Us Husain iban e haidar pe lakhon salam
Kaho Husain par salam kaho Husain par salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam mere Husain tujhe salam
Jis ko dosh e nabi par bithaya gaya
Jis ka jannat se jhoda mangaya gaya
Jis ke bete ko qaidi banaya gaya
Jos ko teeron se chhalli karaya gaya
Us Husain iban e haidar pe lakhon salam
Kaho Husain par salam kaho Husain par salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam mere Husain tujhe salam
Jisne haq karbala main adaa kar diya
Apne Nana ka waada wafa kar diya
Sab kuchh ummat ki khatir fida kar diya
Ghar ka ghar sab supurd e khuda kar diya
Kaho Husain par salam kaho Husain par salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam mere Husain tujhe salam
Kar chuka voh habib apni hujjat tamam
Leke Allah aur apne Nana ka naam
Kufiyon ko suna kar khuda ka kalam
Aur fidaa ho gaya jaan e khairul anaam
Us Husain iban e haidar pe lakhon salam
Kaho Husain par salam kaho Husain par salam
Assalam ya Husain assalam ya Husain
Mere Husain tujhe salam mere Husain tujhe salam
Naat khan:Alhaj Owais Raza Qadari