Karbala ke jaan-nisaaron ko salam
Fatima Zahara je piyaron ko salam
Mustafa ke maah paaron ko salam
Naujavanon gool-baharon ko salam
Karbala teri baharon ko salam
Jaan- nisaari ke nazaron ko salam
Ya husain Ibn e Ali Mushkil Kusha
Aapke sab jaan-nisaaron ko salam
Akbar-o-Asgar pe jaan qurban ho
Mere dil ke tajdaron ko salam
Qasim-o-Abbas par ho rahematen
Karbala ke shah e savaron ko salam
Jis kisine karbala main jaan dee
Un sabhi imandaron ko salam
Bhuki pyasi biviyon par rahematen
Bhuke piyase gool izaron ko salam
Bhed kya jane shahadat ka koi
Un khuda ke razdaron ko salam
Rahematen hon har sahabi par mudaam
Aur khususan Charyaron ko salam
Biviyon koAabid eBimaar ko
Be kason ko,gham ke maron ko salam
Ho gaye qurban Muhammad aur Aun
Sayyada Zainab ke piyaron ko salam
Jo husaini qafle main the shareek
Kaheta hai “Attar”saron ko salam